Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

یہ عزت دار گھرانہ ہے

Izzatdaar Gharaana

Add to set
Show

یہ عزت دار گھرانہ ہے

یہ عزت دار گھرانہ ہے سید سردار گھرانہ ہے
ملکہ ہیں خدیجہ اس گھر کی مالک حسنین کا نانا ہے یہ عزت دار گھرانہ ہے
۱ ساری آیاتِ قرآنی اس گھر کی شان میں اُتری ہیں یہ پاک محمد کا گھر ہے یہاں فاطمہ زہرا رہتی ہیں آواز یہاں نیچی رکھنا اللہ کا یہ فرمانا ہے
۲ جو انکا دشمن ہے اُس پر اللہ بھی لعنت کرتا ہے اس گھر میں رہنے والوں کا قرآن میں شجرہ ملتا ہے کعبہ کرتا ہے سلام اُسکو اس بات کو جسنے مانا ہے
۳ سردار فرشتوں کا آکر اس گھر میں جھلاتا ہے جھولا تخت اور تاج کو ٹھکرا کر آئی ہیں کنیزی میں فضہ نوکر جو بھی ہے اس گھر کا انداز اُسکا شاہانہ ہے
۴ خالی نہیں جاتا کوئی بھی سب کے دامن بھر جاتے ہے جب روٹیاں بانٹتی ہیں زہرا یہاں آسماں والے آتے ہیں بٹتا ہے تبرک کی صورت اس گھر کا جو بھی کھانا ہے
۵ جس گھر پر ہو غازی کا علم کرتی ہیں فاطمہ زہرا کرم ہم لوگ حُسینی ہیں چھت پر کیوں نا لہرائیں یہ پرچم یہ علم لگانے کا مقصد دنیا کو یہ بتلانا ہے
۶ صدقہ یہ دیا ہے بچوں کا بی‌بی نے اپنے نوکر کو فرحان اِنہی کی مجلس نے ذیشان بنایا ہے گھر کو میرا گھر کوئی عام نہیں اس میں زہرا کا آنا جانا ہے
۷ عزت جو بڑی تھی تو مصیبت بھی بڑی تھی جو گھر تھا محمد کا وہاں آگ لگی تھی عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۸ جس در پہ نبی کرتے تھے سلام اُس دروازے کو جلایا گیا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۹ کعبے میں ظہور ہوا جس کا مسجد میں اُس کو قتل کیا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۰ پہلو میں نبی کے جو تھا پلا وہی پہلو میں نہ دفن ہُوا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۱ جسے خُلد سے کپڑے بھیجے گئے بے کفن رہا اُس کا لاشہ عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۲ جو گھر کوثر کا مالک تھا اُسے دشت میں پیاسا مار دیا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۳ قائم تھا پردہ جن سے اُنہیں بازار میں لائے بے پردہ عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۴ ہے جن کے صدقے میں دُنیا ہائے اُن پہ صدقہ پھینکا گیا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی
۱۵ آزاد کرائے جو قیدی ہائے وہ گھرانہ قید ہُوا عزت بھی بڑی غربت بھی بڑی

Izzatdaar Gharaana

Ye izzatdaar gharaana hai Sayyid sardaar gharaana hai
Malika haiṅ Khadija is ghar ki Maalik Hasnain ka naana hai Ye izzatdaar gharaana hai
1 Saari aayaat-e-Quraani Is ghar ki shaan meiṅ utri haiṅ Ye paak Muhammad ka ghar hai Yahaaṅ Fatima Zahra rehti haiṅ Aawaaz yahaaṅ nichi rakhna Allah ka ye farmaana hai
2 Jo inka dushman hai us par Allah bhi laanat karta hai Is ghar meiṅ rehne waaloṅ ka Quraan meiṅ shajra milta hai Kaaba karta hai salaam usko Is baat ko jis ne maana hai
3 Sardaar farishtoṅ ka aa kar Is ghar meiṅ jhulaata hai jhula Takht aur taaj ko thukra kar Aai haiṅ kanizi meiṅ Fizza Naukar jo bhi hai is ghar ka Andaaz uska shaahaana hai
4 Khaali nahiṅ jaata koi bhi Sab ke daaman bhar jaate hai Jab rotiyaaṅ baantti haiṅ Zahra Yahaaṅ aasmaaṅ waale aate haiṅ Batta hai tabarruk ki surat Is ghar ka jo bhi khaana hai
5 Jis ghar par ho Ghaazi ka alam Karti haiṅ Fatima Zahra karam Ham log Husaini haiṅ chhat par Kiuṅ na lahraaeṅ ye parcham Ye alam lagaane ka maqsad Duniya ko ye batlaana hai
6 Sadqa ye diya hai bachchoṅ ka Bibi ne apne naukar ko Farhaan inhi ki majlis ne Zishaan banaaya hai ghar ko Mera ghar koi aam nahiṅ is meiṅ Zahra ka aana jaana hai
7 Izzat jo bari thi to Musibat bhi bari thi Jo ghar tha Muhammad ka Wahaaṅ aag lagi thi Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
8 Jis dar pe Nabi karte the salaam Us darwaaze ko jalaaya gaya Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
9 Kaabe meiṅ zuhur hua jis ka Masjid meiṅ usko qatl kiya Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
10 Pahlu meiṅ Nabi ke jo tha pala Wohi pahlu meiṅ na dafn hua Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
11 Jise khuld se kapre bheje gae Bekafan raha uska laasha Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
12 Jo ghar Kausar ka maalik tha Use dasht meiṅ pyaasa maar diya Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
13 Qaaim tha parda jin se unheṅ Baazaar meiṅ laae beparda Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
14 Hai jin ke sadqe meiṅ duniya Haae un pe sadqa phenka gaya Izzat bhi bari ghurbat bhi bari
15 Aazaad karaae jo qaidi Haae wo gharaana qaid hua Izzat bhi bari ghurbat bhi bari