Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

عباس جری فاتح خیبر کی طرح ہے

Hyder Ka Pisar

Add to set
Show

عباس جری فاتح خیبر کی طرح ہے

عباس جری فاتح خیبر کی طرح ہے حیدر کا پسر شان میں حیدر کی طرح ہے
۱ خود شام کی فوجوں میں ہے آتا ہے علمدار اس شیر کے حملے سے خبر دار خبر دار تنہا بھی ہزاروں میں یہ لشکر کی طرح ہے
۲ یہ دم ہے بھلا کس میں جو اس شیر کو روکے ایک مشک میں لے جائے گا دریا کو سموں سے اعدا کے لئے حلق پہ خنجر کی طرح ہے
۳ بے تیغ بھی دریا کو کیا فوج سے خالی اس شیر کا ہر وار ہے حیدر سا مثالی یہ بعد نبی دین کے رہبر کی طرح ہے
۴ دادا کی جگہ ساتھ ہے اس آس کا ہونا کہتی ہے سکینہ چچا عباس کا ہونا پیاسوں کے لئے ساقیٔ کوثر کی طرح ہے
۵ رو رو کے یہ عابد سے کہا بنت علی نے دریا پہ جسے مار دیا فوج شقی نے وہ شیر وفاؤں کے پیمبر کی طرح ہے
۶ مل جاتا گر سکینہ کو جو ایک بوند بھی پانی شرمندہ نہ ہوتی کبھی دریا کی روانی دریا بھی سکینہ کے مقدر کی طرح ہے
۷ کہتی ہے محمد کے گھرانے کی فضا بھی عباس نہیں ہے تو زمانے کی فضا بھی ایک خون میں ڈوبے ہوئے منظر کی طرح ہے
۸ اس ظلم سے جو میثم و محبوب بچائے اعدا سے ردا زینب مضطر کے دلائے اب کون شہ دین کے دلبر کی طرح ہے

Hyder Ka Pisar

Abbas jari faateh-e-Khaibar ki tarah hai Hyder ka pisar shaan meiṅ Hyder ki tarah hai
1 Khud Shaam ki faujoṅ meiṅ hai aata hai Alamdar Is sher ke hamle se khabardaar khabardaar Tanha bhi hazaaroṅ meiṅ ye lashkar ki tarah hai
2 Ye dam hai bhala kis meiṅ jo is sher ko roke Ek mashk meiṅ le jaayega darya ko sumoṅ ke Aada ke liye halq pe khanjar ki tarah hai
3 Betegh bhi darya ko kiya fauj se khaali Is sher ka har waar hai Hyder sa misaali Ye baad-e-Nabi din ke rahbar ki tarah hai
4 Daada ki jagah saath hai is aas ka hona Kahti hai Sakina chacha Abbas ka hona Pyaasoṅ ke liye saaqi-e-Kausar ki tarah hai
5 Ro ro ke ye Aabid se kaha bint-e-Ali ne Darya pe jise maar diya fauj-e-shaqi ne Wo sher wafaaoṅ ke payambar ki tarah hai
6 Mil jaata gar Sakina ko jo ek bund bhi paani Sharminda na hoti kabhi darya ki rawaani Darya bhi Sakina ke muqaddar ki tarah hai
7 Kahti hai Muhammad ke gharaane ki fiza bhi Abbas nahiṅ hai to zamaane ki fiza bhi Ek khun meiṅ dube hue manzar ki tarah hai
8 Is zulm se jo Maisam o Mehbub bachaaye Aada se rida Zainab-e-muztar ki dilaaye Ab kaun Shaah-e-din ke dilbar ki tarah hai