سنو حسینیوں سنو حسینیوں
Husain Zindaabaad
Show
سنو حسینیوں سنو حسینیوں
سنو حسینیوں سنو حسینیوں
حسین وہ جو زیر تیغ ہنس کے سو گیا
یزید وہ جو ذلتوں کا نام ہو گیا
حسین وہ جو مرضیٔ خدا خرید لے
یزید وہ ہے جس کا کوئی نام بھی نہ لے
یزید زندہ رہ کے مردہ باد ہو گیا
حسین سر کٹا کے زندہ باد زندہ باد زندہ باد ہو گیا
زندہ باد زندہ باد زندہ باد زندہ باد زندہ باد
حسین زندہ باد حسین زندہ باد
حسین زندہ باد حسین زندہ باد
یہ کل بھی زندہ باد تھا وہ اب بھی زندہ باد ہے
۱
قرآن میں حدیث میں یزید کا بیاں نہیں
یزید کی تو قبر کا کہیں بھی کوئی نشان نہیں
ہاں جابجا ہے دہر میں حسین کی اولاد ہے
۲
برائیوں کو دہر میں یزید عام کر گیا
حسین سے لڑا تو اپنی موت آپ مر گیا
یہ کل بھی مردہ باد تھا یہ اب بھی مردہ باد ہے
۳
ہر ایک شریف ذہن سے یزید اتنا گر گیا
کسی نے اپنے لال کا یزید نام نہ رکھا
یہ کل بھی نامراد تھا یہ اب بھی نامراد ہے
۴
یزید والے تخت پر نصیب کے خراب ہیں
حسین والے قید میں بھی رہ کے کامیاب ہیں
حسینیت کی ٹھوکریں یزید اور ابنِ زیاد ہیں
۵
جہاں میں سب سے زیادہ اشک جس کے نام پر بہا
زمانے لا غمِ حسین کا کوئی جواب لا
گنیز بک کو بس میرے حسین سے آنند ہے
۶
یزید ایک لاکھ ہو مقابلے پہ غم نہیں
حسین والا ایک ہو تو لشکروں سے کم نہیں
حسین کو بھی اپنے ماتمی پہ اعتماد ہے
۷
علی کی بیٹی زینب حزیں حسین بن گئی
شریکت الحسین تھی یزیدیت پہ چھا گئی
حسین سے پڑھا ہوا سبق جو اس کو یاد ہے
۸
ترانۂ حسین ہے ہاں ساتھ دو حسینیوں
حسین سے مراد لو مراد لو حسینیوں
حسین جس کو دے دے اس کی نسل بامراد ہے
۹
نبی کا ملک پاک ہے ندیم اور ریحان ہیں
ہماری سرحدوں پہ سب حسین کے جوان ہیں
کرم ہے مصطفیٰ کا اپنا ملک شاد و باد ہے
Husain Zindaabaad
Suno Husainiyoṅ suno Husainiyoṅ
Husain wo jo zer-e-tegh hans ke so gaya
Yazid wo jo zillatoṅ ka naam ho gaya
Husain wo jo marzi-e-Khuda kharid le
Yazid wo hai jis ka koi naam bhi na le
Yazid zinda reh ke murdaabaad ho gaya
Husain sar kata ke zindaabaad zindaabaad zindaabaad ho gaya
Zindaabaad zindaabaad zindaabaad zindaabaad zindaabaad
Husain zindaabaad Husain zindaabaad
Husain zindaabaad Husain zindaabaad
Ye kal bhi zindaabaad tha wo ab bhi zindaabaad hai
1
Quraan meiṅ hadis meiṅ Yazid ka bayaaṅ nahiṅ
Yazid ki to qabr ka kahiṅ bhi koi nishaan nahiṅ
Haaṅ jaa bajaa hai dehr meiṅ Husain ki aulaad hai
2
Buraaiyoṅ ko dehr meiṅ Yazid aam kar gaya
Husain se lara to apni maut aap mar gaya
Ye kal bhi murdaabaad tha ye ab bhi murdaabaad hai
3
Har ek sharif zehn se Yazid itna gir gaya
Kisi ne apne laal ka Yazid naam na rakha
Ye kal bhi naamuraad tha ye ab bhi naamuraad hai
4
Yazid waale takht par nasib ke kharaab haiṅ
Husain waale qaid meiṅ bhi reh ke kaamyaab haiṅ
Husainiyat ki thokareṅ Yazid aur Ibn-e-Ziyaad haiṅ
5
Jahaaṅ meiṅ sab se zyaada ashk jis ke naam par baha
Zamaane laa gham-e-Husain ka koi jawaab laa
Guinness Book ko bas mere Husain se anaad hai
6
Yazid ek laakh ho muqaable pe gham nahiṅ
Husain waala ek ho to lashkaroṅ se kam nahiṅ
Husain ko bhi apne maatami pe aetmaad hai
7
Ali ki beti Zainab-e-haziṅ Husain ban gayi
Sharikatul Husain thi Yazidiyat pe chhaa gayi
Husain se parha hua sabaq jo is ko yaad hai
8
Taraana-e-Husain hai haaṅ saath do Husainiyoṅ
Husain se muraad lo muraad lo Husainiyoṅ
Husain jis ko de de us ki nasl baamuraad hai
9
Nabi ka mulk-e-paak hai Nadim aur Rehaan haiṅ
Hamaari sarhadoṅ pe sab Husain ke jawaan haiṅ
Karam hai Mustafa ka apna mulk shaad o baad hai