حسین شاہ کربلا
Husain Shah-e-Karbala
Show
حسین شاہ کربلا
حسین شاہ کربلا
حسین دین مصطفےٰ
۱
وہ دین حق کا قافلہ
چلا جو سوئے کربلا
یہی ہے جادہ وفا
قدم قدم یہ تھی صدا
۲
پہنچ کے دشت کربلا
لٹا کے گلشن وفا
خراج اس طرح لیا
شکست ظلم نے کہا
۳
ہے کون کعبہ یقین
اے جان ختم مرسلین
وہی ہے بس پناہ دین
یہ کہہ رہے ہیں انبیاء
۴
یہ ذکر ہی نماز ہے
خدا کو جس پہ ناز ہے
وہ سر ہی سرفراز ہے
جبیں پہ جس کی ہے لکھا
۵
تمام شب تھا امتحان
یقین و شک کے درمیاں
ہوئی جو صبح کی اذان
تو حر کے دل نے یہ کہا
۶
اٹھا کے لاشہ جواں
چلے جو شاہ انس و جاں
نہ تھا کوئی بھی پاسباں
مگر یہ حق کی تھی صدا
۷
حسین دین پناہ ہیں
بنائے لا الہ ہیں
کتاب حق گواہ ہیں
ورق ورق یہ ہے لکھا
۸
ہزار کوششیں ہوئی
مگر نہ رک سکا کہیں
فرید ذکر شاہ دین
رہے گا حشر تک صدا
Husain Shah-e-Karbala
Husain Shah-e-Karbala
Husain din-e-Mustafa
1
Wo din-e-haq ka qaafila
Chala jo su-e-Karbala
Yehi hai jaada-e-wafa
Qadam qadam ye thi sada
2
Pahuṅch ke dasht-e-Karbala
Luta ke gulshan-e-wafa
Khiraaj is tarah liya
Shikast-e-zulm ne kaha
3
Hai kaun Kaaba-e-yaqin
Ae jaan-e-khatm-e-mursalin
Wohi hai bas panaah-e-din
Ye keh rahe haiṅ ambiya
4
Ye zikr hi namaaz hai
Khuda ko jis pe naaz hai
Wo sar hi sarfaraaz hai
Jabiṅ pe jis ki hai likha
5
Tamaam shab tha imtihaan
Yaqin o shak ke darmiyaaṅ
Hui jo subh ki azaan
To Hurr ke dil ne ye kaha
6
Utha ke laasha-e-jawaaṅ
Chale jo Shah-e-ins o jaaṅ
Na tha koi bhi paasbaaṅ
Magar ye haq ki thi sada
7
Husain din panaah haiṅ
Binaa-e-la ilaah haiṅ
Kitaab-e-haq gawaah haiṅ
Waraq waraq ye hai likha
8
Hazaar koshisheiṅ hui
Magar na ruk saka kahiṅ
Farid zikr-e-Shah-e-din
Rahega hashr tak sada