Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

چلی حسین کو کھو کر حسین کی بہنیں

Husain Ki Behneṅ

Add to set
Show

چلی حسین کو کھو کر حسین کی بہنیں

چلی حسین کو کھو کر حسین کی بہنیں سروں پہ خاک سجا کر حسین کی بہنیں
۱ لپٹ کے بھائی کی تربت سے غم مناتی ہے دیارِ شام کا سب ماجرا سناتی ہے تڑپ تڑپ کے لحد پر حسین کی بہنیں
۲ جگر فگار ہے سہمی ہے غم کی ماری ہے مصیبتوں کی ستائی ستم کی ماری ہے غموں سے ہو گئی لاغر حسین کی بہنیں
۳ عماریوں پہ بھی ہو کر سوار دیکھتی ہے لحد کو بھائی کی سب بار بار دیکھتی ہے قدم قدم پہ پلٹ کر حسین کی بہنیں
۴ ابھی تو چھوٹ کے آئی ہے قید خانے سے حسین بھائی کو دیکھا نہیں زمانے سے تڑپ کے روئے نہ کیوں کر حسین کی بہنیں
۵ بنا کے زادِ سفر نورِ عین کا چہرہ تصورات میں بھیا حسین کا چہرہ سفر میں جاتی ہے لے کر حسین کی بہنیں
۶ کبھی تو سر کبھی رخسار پیٹ لیتی ہے ہر ایک عزیز کو رو رو کے یاد کرتی ہے لحد پہ خود کو گرا کر حسین کی بہنیں
۷ بنی اسد کے قبیلے میں آہ و زاری ہے ہر ایک زبان پہ بے ساختہ یہ جاری ہے مدینے جاتی ہے لٹ کر حسین کی بہنیں
۸ ستم جو ڈھائے ہے امت نے اس مصیبت کی کریں گی جا کے شکایت ضرور امت کی پہنچ کے قبرِ نبی پر حسین کی بہنیں
۹ کمیل ہائے وہ کتنا تڑپ رہی ہوں گی لحد کو چھوڑ کے عامر وہ جب چلی ہوں گی اڑا کے خاک کی چادر حسین کی بہنیں

Husain Ki Behneṅ

Chali Husain ko kho kar Husain ki behneṅ Saroṅ pe khaak saja kar Husain ki behneṅ
1 Lipat ke bhaai ki turbat se gham manaati hai Diyaar-e-Shaam ka sab maajra sunaati hai Tarap tarap ke lahad par Husain ki behneṅ
2 Jigar figaar hai sahmi hai gham ki maari hai Musibatoṅ ki sataayi sitam ki maari hai Ghamoṅ se ho gayi laaghar Husain ki behneṅ
3 Amaariyoṅ pe bhi ho kar sawaar dekhti hai Lahad ko bhaai ki sab baar baar dekhti hai Qadam qadam pe palat kar Husain ki behneṅ
4 Abhi to chhut ke aayi hai qaid khaane se Husain bhaai ko dekha nahiṅ zamaane se Tarap ke roye na kiuṅ kar Husain ki behneṅ
5 Bana ke zaad-e-safar nur-e-ain ka chehra Tasavvuraat meiṅ bhaiya Husain ka chehra Safar meiṅ jaati hai le kar Husain ki behneṅ
6 Kabhi to sar kabhi rukhsaar pit leti hai Har ek aziz ko ro ro ke yaad karti hai Lahad pe khud ko gira kar Husain ki behneṅ
7 Bani Asad ke qabile meiṅ aah o zaari hai Har ek zabaan pe besaakhta ye jaari hai Madine jaati hai lut kar Husain ki behneṅ
8 Sitam jo dhaaye hai ummat ne us musibat ki Kareṅ gi jaa ke shikaayat zarur ummat ki Pahuṅch ke qabr-e-Nabi par Husain ki behneṅ
9 Kumail haaye wo kitna tarap rahi hoṅ gi Lahad ko chhor ke Aamir wo jab chali hoṅ gi Ura ke khaak ki chaadar Husain ki behneṅ