Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

حسین فرض ادا کر رہے ہیں سجدے میں

Husain Farz Ada

Add to set
Show

حسین فرض ادا کر رہے ہیں سجدے میں

حسین فرض ادا کر رہے ہیں سجدے میں یزیدیت کو فنا کر رہے ہیں سجدے میں
۱ حسین دے کے بہتر سروں کی قربانی خدا کا شکر ادا کر رہے ہیں سجدے میں
۲ حیات دین محمد کو اے مسلمانوں بہ وقت عصر عطا کر رہے ہیں سجدے میں
۳ زمانے والوں یہ صبر حسین تو دیکھو کہ دشمنوں کا بھلا کر رہے ہیں سجدے میں
۴ لعیں کی کند چھری چل رہی تھی گردن پر مگر حسین دعا کر رہے ہیں سجدے میں
۵ یہ امتی ہیں کہ پڑھ کر رسول کا کلمہ سر حسین جدا کر رہے ہیں سجدے میں
۶ عروج خون سے اپنے حسین ابنِ علی زمیں کو خاک شفا کر رہے ہیں سجدے میں

Husain Farz Ada

Husain farz ada kar rahe haiṅ sajde meiṅ Yazidiyat ko fana kar rahe haiṅ sajde meiṅ
1 Husain de ke bahattar saroṅ ki qurbaani Khuda ka shukr ada kar rahe haiṅ sajde meiṅ
2 Hayaat din-e-Muhammad ko ae musalmaanoṅ Ba waqt-e-asr ata kar rahe haiṅ sajde meiṅ
3 Zamaane waaloṅ ye sabr-e-Husain to dekho Ke dushmanoṅ ka bhala kar rahe haiṅ sajde meiṅ
4 Laiṅ ki kund chhuri chal rahi thi gardan par Magar Husain dua kar rahe haiṅ sajde meiṅ
5 Ye ummati haiṅ ke parh kar Rasul ka kalma Sar-e-Husain juda kar rahe haiṅ sajde meiṅ
6 Uruj khun se apne Husain Ibn-e-Ali Zamiṅ ko khaak-e-shifa kar rahe haiṅ sajde meiṅ