Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

لبیک یا حسین لبیک یا حسین

Hum Azaadaar Hain

Add to set
Show

لبیک یا حسین لبیک یا حسین

لبیک یا حسین لبیک یا حسین
ہم عزادار ہیں ہم عزادار ہیں شاہ مظلوم کے ہم عزادار ہیں
۱ کی ہمارے لئے آپ زہرا دعا ہم ہیں سب سے الگ ہم ہیں سب سے جدا ہاتھوں میں اپنے ہے علمِ شاہِ وفا درس گاہ ہے ہماری تو بس کربلا جس نے کلمۂ قرآن ہم کو دیا اس نبی کے نواسے کے غم خوار ہیں
۲ یہ خدا کی خدائی کے ہیں رازداں بنے پنجتن کے صدقے میں دونوں جہاں ہے نبی کی زباں ہی خدا کی زباں تابع ان کے امر کے ہیں کون و مکاں دسترس میں انہیں کے ہیں لوح و قلم با خدا یہ ہی جنت کے سردار ہے
۳ آؤ حق مودت ادا ہم کرے علی اصغر کا اکبر کا ماتم کرے مل کے قاسم کا عباس کا غم کرے یاد میں اپنی آنکھوں کو پرنم کرے ثانیٔ زہرا کے تھے جو پالے ہوئے سر کیے جن کے نیزوں پہ اخوار ہے
۴ اللہ جانے وہ کیسے مسلمان تھے کلمہ گو تھے مگر نہ پشیمان تھے قتل ان کو کیا ہے جو مہمان تھے بن گئے جان کر بھی جو انجان تھے رونا خورشید ہے صرف اس بات کا لائے آل نبی کو وہ بازار ہے

Hum Azaadaar Hain

Labbaik ya Husain labbaik ya Husain
Hum azaadaar haiṅ hum azaadaar haiṅ Shah-e-mazlum ke hum azaadaar haiṅ
1 Ki hamaare liye aap Zahra dua Hum haiṅ sab se alag hum haiṅ sab se juda Haathoṅ meiṅ apne hai alam-e-Shah-e-wafa Darsgaah hai hamaari to bas Karbala Jis ne kalma-e-Quran hum ko diya Us Nabi ke nawaase ke ghamkhwaar haiṅ
2 Ye Khuda ki khudaai ke haiṅ raazdaṅ Bane Panjatan ke sadqe donoṅ jahaaṅ Hai Nabi ki zabaaṅ hi Khuda ki zabaaṅ Taabe in ke amr ke haiṅ kaun o makaaṅ Dastaras meiṅ inhi ke haiṅ lauh o qalam Ba Khuda ye hi jannat ke sardaar haiṅ
3 Aao haq-e-mawaddat ada hum kareṅ Ali Asghar ka Akbar ka maatam kareṅ Mil ke Qasim ka Abbas ka gham kareṅ Yaad meiṅ apni aankhoṅ ko purnam kareṅ Saani-e-Zehra ke the jo paale hue Sar kiye jin ke nezoṅ pe akhwaar hai
4 Allah jaane wo kaise musalmaan the Kalma go the magar na pashemaan the Qatl un ko kiya hai jo mehmaan the Ban gaye jaan kar bhi jo anjaan the Rona Khurshid hai sirf is baat ka Laaye Aal-e-Nabi ko wo baazaar hai