ہو گئیں آہ بے پدر زینبؑ
Hogayi Aah Bepidar
Show
ہو گئیں آہ بے پدر زینبؑ
ہو گئیں آہ بے پدر زینبؑ
کم ہیں اب روئیں جس قدر زینبؑ
۱
روک لے اپنے آنسوؤں کو ذرا
اب تو رونا ہے عمر بھر زینبؑ
۲
ہل رہا ہے مزار روتی ہے
ماں کی تربت پہ کھولے سر زینبؑ
۳
آج ہیں فرش غم پہ اہلِ عزا
باپ کے غم میں نوحہ گر زینبؑ
۴
دیکھنا ایک دن دکھائے گی
شام تجھ کو یہی سحر زینبؑ
۵
ابتدا ہے ابھی تو کوفے میں
تجھ کو ہونا ہے دربدر زینبؑ
۶
مجمعِ عام ہوگا گلیوں میں
اور ہوگی برہنہ سر زینبؑ
۷
کرتے ہیں جس طرح یتیم بسر
اب کرو عمر یوں بسر زینبؑ
۸
رونقیں اٹھ گئی ہیں دنیا کی
جا رہا ہے تیرا پدر زینبؑ
۹
تیرے نالوں سے ہو رہا ہے بپا
ایک کہرام فرش پر زینبؑ
۱۰
سیدہ آ گئی ہیں جنت سے
سارا ماتم کدا ہے گھر زینبؑ
Hogayi Aah Bepidar
Ho gayiṅ aah bepidar Zainab
Kam haiṅ ab royeṅ jis qadar Zainab
1
Rok le apne aansuoṅ ko zara
Ab to rona hai umr bhar Zainab
2
Hil raha hai mazaar roti hai
Maaṅ ki turbat pe khole sar Zainab
3
Aaj haiṅ farsh-e-gham pe ahl-e-aza
Baap ke gham meiṅ nauhagar Zainab
4
Dekhna ek din dikhaayegi
Shaam tujh ko yehi sehar Zainab
5
Ibtida hai abhi to Kufe meiṅ
Tujh ko hona hai darbadar Zainab
6
Majma-e-aam hoga galiyoṅ meiṅ
Aur hogi barehna sar Zainab
7
Karte haiṅ jis tarah yatim basar
Ab karo umr yuṅ basar Zainab
8
Raunaqeṅ uth gayi haiṅ dunya ki
Jaa raha hai tera pidar Zainab
9
Tere naaloṅ se ho raha hai bapa
Ek kohraam farsh par Zainab
10
Sayyeda aa gayi haiṅ jannat se
Saara maatam kada hai ghar Zainab