جو بچھاتے ہیں محرم میں صدا فرش عزا
Hifazat Ki Dua
Show
جو بچھاتے ہیں محرم میں صدا فرش عزا
جو بچھاتے ہیں محرم میں صدا فرش عزا
فاطمہ ان کی حفاظت کی دعا کرتی ہے
اپنا غم بھول کے کرتے ہیں جو ماتم شہ کا
فاطمہ ان کی حفاظت کی دعا کرتی ہے
۱
چاند آتا ہے نظر ماہ عزا کا جس دم
شہ نشینوں میں عزادار سجاتے ہیں علم
جب وہ کرتے ہیں حسین ابنِ علی پر گریہ
۲
لوٹ کر دیس میں پردیس سے آ جاتے ہیں
اپنی دولت جو غمِ شہ میں لٹا جاتے ہیں
عام کرتے ہیں جو ہر سال خیمے کربوبلا
۳
دل میں رکھتے ہیں صدا اہلِ حرم کا احساس
یاد میں ان کی پہنتے ہے جو بس کالے لباس
رشک ان لوگوں پہ کرتا ہے لباس کعبہ
۴
شاہ کے ماتم میں جو شعلوں پہ چلا کرتے ہیں
نام شبیر پہ جو جان فدا کرتے ہیں
ان کو ہوتا ہی نہیں جان کا کوئی خطرہ
۵
جو بہاتے ہیں غمِ سبط نبی میں آنسوں
اور زنجیر و خمہ کر کے بہاتے ہیں لہو
ان کا ہوتا ہے ہر ایک لمحہ مددگار خدا
۶
پرچمِ حضرتِ عبّاس اٹھانے والے
پا برہنہ ہیں جلوسوں میں جو آنے والے
اپنے ہونٹوں پہ لیے ہائے حسینا کی صدا
۷
شہ کے مقصد کے محافظ بھی ہے غازی بھی ہے
جو عزادار بھی ہے اور نمازی بھی ہے
فرش مجلس پہ جو کرتے ہیں خدا کا سجدہ
۸
دور رہتی ہے بلا کربوبلا والوں سے
منسلک ہے جو صدا کربوبلا والوں سے
ان کی ہر گام پہ کرتے ہیں حفاظت مولا
۹
روز کرتے ہیں وظیفہ یہ کمیل و عامر
دل میں رکھتے ہیں عقیدہ یہ کمیل و عامر
جو بھی پڑھتے ہیں حسین ابنِ علی کا نوحہ
Hifazat Ki Dua
Jo bichhaate haiṅ Muharram meiṅ sadaa farsh-e-azaa
Fatima un ki hifaazat ki duaa karti hai
Apna gham bhul ke karte haiṅ jo maatam Shah ka
Fatima un ki hifaazat ki duaa karti hai
1
Chaand aata hai nazar maah-e-azaa ka jis dam
Shah nashinoṅ meiṅ azaadaar sajaate haiṅ alam
Jab wo karte haiṅ Husain ibn-e-Ali par girya
2
Laut kar des meiṅ pardes se aa jaate haiṅ
Apni daulat jo gham-e-Shah meiṅ lutaa jaate haiṅ
Aam karte haiṅ jo har saal gham-e-Karb o Balaa
3
Dil meiṅ rakhte haiṅ sadaa ahl-e-haram ka ehsaas
Yaad meiṅ un ki pahante hai jo bas kaale libaas
Rashk un logoṅ pe karta hai libaas-e-Kaaba
4
Shah ke maatam meiṅ jo sholoṅ pe chalaa karte haiṅ
Naam-e-Shabbir pe jo jaan fidaa karte haiṅ
Un ko hota hi nahiṅ jaan ka koi khatra
5
Jo bahaate haiṅ gham-e-sibt-e-Nabi meiṅ aansuṅ
Aur zanjir o qama kar ke bahaate haiṅ lahu
Un ka hota hai har ek lamha madadgaar Khuda
6
Parcham-e-Hazrat-e-Abbas uthaane wale
Paa barahna haiṅ julusoṅ meiṅ jo aane wale
Apne hontoṅ pe liye haaye Husaina ki sadaa
7
Shah ke maqsad ke muhaafiz bhi hai Ghaazi bhi hai
Jo azaadaar bhi hai aur namaazi bhi hai
Farsh-e-majlis pe jo karte haiṅ Khuda ka sajda
8
Dur rahti hai balaa Karb o Balaa waloṅ se
Munsalik hai jo sadaa Karb o Balaa waloṅ se
Un ki har gaam pe karte haiṅ hifaazat Maula
9
Roz karte haiṅ wazifa ye Kumail o Aamir
Dil meiṅ rakhte haiṅ aqida ye Kumail o Aamir
Jo bhi parhte haiṅ Husain ibn-e-Ali ka nauha