Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہاے رے مجبوریاں عباس کی مجبوریاں

Haye Re Majburiyaṅ

Add to set
Show

ہاے رے مجبوریاں عباس کی مجبوریاں

ہاے رے مجبوریاں عباس کی مجبوریاں اک بہادر پر لگا دی جنگ کی پابندیاں
۱ غیض میں عباس کہتے تھے کہ سن اے فوج شام ایک ٹھوکر میں بکھر جائیں گی یہ نگرانیاں
۲ رو کے کہتی تھی سکینہ آئے نہ اب تک چچا لمبی ہوتے جا رہے ہیں آس کے پرچھائیاں
۳ خون بہتا ہے میرے کانوں سے عمو دیکھیے ظالموں نے کتنی بے دردی سے چھینی بالیاں
۴ بین تھے زینب کے ہوتے گر علمدار حسین غیر ممکن تھا کہ پھرتے وادیاں در وادیاں
۵ جام کوثر کا مجھے کس نے دیا کیونکر ملا آنسوؤں میں ڈوب کر سمجھا ہوں یہ گہرائیاں
۶ بعد قتل ثانی جعفر قیام شاہ میں نہ کوئی آواز رونے کی تھی نہ تھے سسکیاں
۷ پھر جمال غمزدہ نے ایک نیا نوحہ کہا پھر عزائے شاہ کی چلنے لگی پروائیاں

Haye Re Majburiyaṅ

Haye re majburiyaaṅ Abbas ki majburiyaaṅ Ik bahaadur par laga di jang ki paabandiyaaṅ
1 Ghaiz meiṅ Abbas kehte the ke sun ae fauj-e-Shaam Ek thokar meiṅ bikhar jaayeṅ gi ye nigraaniyaaṅ
2 Ro ke kehti thi Sakina aaye na ab tak chacha Lambi hote ja rahe haiṅ aas ke parchhaaiyaaṅ
3 Khun behta hai mere kaanoṅ se ammu dekhiye Zaalimoṅ ne kitni bedardi se chhini baaliyaaṅ
4 Bain the Zainab ke hote gar alamdaar-e-Husain Ghair mumkin tha ke phirte waadiyaaṅ dar waadiyaaṅ
5 Jaam Kausar ka mujhe kis ne diya kiunkar mila Aaṅsuoṅ meiṅ dub kar samjha huṅ ye gehraaiyaaṅ
6 Baad-e-qatl-e-saani-e-Jaafar qayaam-e-Shaah meiṅ Na koi aawaaz rone ki thi na the siskiyaaṅ
7 Phir Jamaal-e-ghamzada ne ek naya nauha kaha Phir aza-e-Shaah ki chalne lagi purwaaiyaaṅ