طفلانِ مسلم ابنِ عقیل
Haye Muslim Ke Dono
Show
طفلانِ مسلم ابنِ عقیل
طفلانِ مسلم ابنِ عقیل
ہائے مسلم کے دونوں پسر
شہر کوفہ میں ہیں در بدر
دونوں کوفے کی گلیوں سے انجان ہے
ان کو کوئی ٹھکانہ بھی ملتا نہیں
پیاسے رہتے ہیں پانی بھی ملتا نہیں
بھوکے رہتے ہیں کھانا بھی ملتا نہیں
روتے رہتے ہیں شام و سحر
۱
چھپ کے کرتے ہیں دن رات دونوں بسر
ڈر کے مارے یہ اک پل بھی سوتے نہیں
ڈھونڈتے ہیں ستمگر انہیں ہر جگہ
زور سے ڈر کے مارے یہ روتے نہیں
ظالموں کا ہے ہر وقت ڈر
۲
خیریت کوئی بابا کی ملتی نہیں
دونوں بھائی تڑپتے ہیں یہ سوچ کر
رو کے کہتے ہیں بابا کو کیا ہو گیا
کیوں نہ آئے وہ لینے ہماری خبر
کیسے بابا کے بن جائے گھر
۳
ہاتھ رکھنے کوئی سر پہ آتا نہیں
کوئی آ کر کے ہمت بڑھاتا نہیں
ٹھوکریں کھا رہے ہیں کئی روز سے
کوئی یثرب کا رستہ بتاتا نہیں
دیکھتے ہیں ادھر اور ادھر
۴
کیسے ہوں گے میرے لال اس فکر میں
اس طرف ہے پریشان دونوں کی ماں
مامتا کو کہیں چین آتا نہیں
رو کے بچوں کی فرقت میں کھوتی ہے جاں
اور یہ رو رہے ہیں ادھر
۵
کمسنی ہے مسافر ہے پردیس ہے
وقت کیسا یہ زہرا کے پیاروں پہ ہے
کوئی کوفے میں دیتے نہیں آسرا
یہ ستم مرتضیٰ کے دلاروں پہ ہے
بے وطن ہے یہ جائے کدھر
۶
لیکے حارث ترائی پہ جس دم گیا
کاٹنے دونوں بچوں کا سوکھا گلا
دونوں بھائی بہت روئے مل کر گلے
اور دونوں نے مل کر یہ نوحہ پڑھا
اماں اب ہم نہ آئیں گے گھر
۷
ہائے واعظ وہ منظر قیامت کا تھا
روئے عباس غازی بھی بے ساختہ
ہو گیا اس گھڑی اک محشر بپا
جب علی شاہ والا نے رو کر کہا
اب نہیں آئیں گے لوٹ کر
Haye Muslim Ke Dono
Tiflaan-e-Muslim Ibn-e-Aqil
Haye Muslim ke donoṅ pisar
Shahr-e-Kufa meiṅ haiṅ dar badar
Donoṅ Kufe ki galiyoṅ se anjaan hai
In ko koi thikaana bhi milta nahiṅ
Pyaase rehte haiṅ paani bhi milta nahiṅ
Bhuke rehte haiṅ khaana bhi milta nahiṅ
Rote rehte haiṅ shaam o sahar
1
Chhup ke karte haiṅ din raat donoṅ basar
Dar ke maare ye ik pal bhi sote nahiṅ
Dhundte haiṅ sitamgar inheṅ har jagah
Zor se dar ke maare ye rote nahiṅ
Zaalimoṅ ka hai har waqt dar
2
Khairiyat koi Baaba ki milti nahiṅ
Donoṅ bhaai tarapte haiṅ ye soch kar
Ro ke kehte haiṅ Baaba ko kya ho gaya
Kiuṅ na aaye wo lene hamaari khabar
Kaise Baaba ke bin jaaye ghar
3
Haath rakhne koi sar pe aata nahiṅ
Koi aa kar ke himmat barhaata nahiṅ
Thokareṅ kha rahe haiṅ kai roz se
Koi Yasrab ka rasta bataata nahiṅ
Dekhte haiṅ idhar aur udhar
4
Kaise hoṅge mere laal is fikr meiṅ
Us taraf hai pareshaan donoṅ ki maaṅ
Mamta ko kahiṅ chain aata nahiṅ
Ro ke bachchoṅ ki furqat meiṅ khoti hai jaaṅ
Aur ye ro rahe haiṅ idhar
5
Kamsini hai musaafir hai pardes hai
Waqt kaisa ye Zahra ke pyaaroṅ pe hai
Koi Kufe meiṅ deta nahiṅ aasra
Ye sitam Murtaza ke dulaaroṅ pe hai
Bewatan hai ye jaaye kidhar
6
Le ke Haaris taraai pe jis dam gaya
Kaatne donoṅ bachchoṅ ka sukha gala
Donoṅ bhaai bahut roye mil kar gale
Aur donoṅ ne mil kar ye nauha parha
Amma ab ham na aayeṅge ghar
7
Haye Waiz wo manzar qayaamat ka tha
Roye Abbaas-e-Ghaazi bhi besaakhta
Ho gaya us ghari ik mahshar bapa
Jab Ali Shaah-e-waala ne ro kar kaha
Ab nahiṅ aayeṅge laut kar