جبریل رو کے کہتے ہیں حق کی دہائی ہے
Haye Haidar-e-Karraar
Show
جبریل رو کے کہتے ہیں حق کی دہائی ہے
جبریل رو کے کہتے ہیں حق کی دہائی ہے
ضربت علی نے سجدۂ خالق میں کھائی ہے
۱
زخمی ہوا مسجد میں پیمبر کا علمدار
ہائے حیدر کرّار
ہائے حیدر کرّار لو چل گئی تلوار کٹنے لگی دستار
ہائے حیدر کرّار
۲
رنگین ہوئی محراب ولایت کے لہو سے
اسلام کے گھر میں چلی ایمان پہ تلوار
ہائے حیدر کرّار
۳
بیٹی نے کہا بابا کی ہو خیر اے یا رب
کیوں سر سے گری جاتی ہے چادر میری ہر بار
ہائے حیدر کرّار
۴
اماں کے جنازے کو بھی اٹھتے ہوئے دیکھا
اب زینب و کلثوم ہے بابا کی عزادار
ہائے حیدر کرّار
۵
یہ چوم کے کہتے تھے علی بازوئے زینب
ان بازوؤں کو رسیوں سے باندھیں گے اغیار
ہائے حیدر کرّار
۶
آیا لب حیدر پہ سلام آخری جس دم
سر پیٹ کے کہنے لگے مولا کے سب انصار
ہائے حیدر کرّار
۷
عاشور کا منظر ہے نگاہوں میں علی کی
عباس کو رو رو کے بناتے ہیں علمدار
ہائے حیدر کرّار
۸
حسنین نے بابا کے جنازے کو اٹھایا
اک عرش کے کاندھے پہ ہے اک عرش نمودار
ہائے حیدر کرّار
۹
مسجد میں علی تیغ نہ سجدے میں جو کھاتے
توحید نہ یوں آتی نظر ماجد و مختار
ہائے حیدر کرّار
Haye Haidar-e-Karraar
Jibril ro ke kehte haiṅ haq ki duhaai hai
Zarbat Ali ne sajda-e-Khaaliq meiṅ khaai hai
1
Zakhmi hua masjid meiṅ Payambar ka alamdaar
Haye Haidar-e-Karraar
Haye Haidar-e-Karraar lo chal gayi talwaar katne lagi dastaar
Haye Haidar-e-Karraar
2
Rangin hui mehraab wilaayat ke lahu se
Islam ke ghar meiṅ chali imaan pe talwaar
Haye Haidar-e-Karraar
3
Beti ne kaha baaba ki ho khair ae ya Rab
Kiuṅ sar se giri jaati hai chaadar meri har baar
Haye Haidar-e-Karraar
4
Amma ke janaaze ko bhi uthte hue dekha
Ab Zainab o Kulsum hai baaba ki azaadaar
Haye Haidar-e-Karraar
5
Ye chum ke kehte the Ali baazu-e-Zainab
In baazuoṅ ko rassiyoṅ se baandheṅge aghyaar
Haye Haidar-e-Karraar
6
Aaya lab-e-Haidar pe salaam aakhri jis dam
Sar pit ke kehne lage Maula ke sab ansaar
Haye Haidar-e-Karraar
7
Aashur ka manzar hai nigaahoṅ meiṅ Ali ki
Abbas ko ro ro ke banaate haiṅ alamdaar
Haye Haidar-e-Karraar
8
Hasnain ne baaba ke janaaze ko uthaaya
Ek arsh ke kaandhe pe hai ek arsh namudaar
Haye Haidar-e-Karraar
9
Masjid meiṅ Ali tegh na sajde meiṅ jo khaate
Tauhid na yuṅ aati nazar Majid o Mukhtar
Haye Haidar-e-Karraar