Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

حسن آپ کا ہے

Hasan Aapka Hai

Add to set
Show

حسن آپ کا ہے

یہ جو کچھ بھی ما بین ارض و سما ہے خدا کی قسم یہ خدا کہہ رہا ہے
۱ یہ چاند اور یہ سورج یہ گہرے سمندر یہ ہیں کشتیاں جو سمندر کے اندر یہ جو بھی جہاں میں جہاں چل رہا ہے
۲ ہیں واللیل زلفیں تو والفجر ماتھا ہیں والنور آنکھیں تو والشمس چہرہ جو قرآن میں رب نے قصیدہ پڑھا ہے
۳ جو مشرق و مغرب بنا کر دکھا دے جو اک مرد کو پل میں عورت بنا دے خدا کے سوا کس کا یہ معجزہ ہے
۴ تھے حیران صحابی یہ کیا ماجرا ہے یہ کیسا فریضہ ادا ہو رہا ہے نبی جو یہ مسجد میں ناقہ بنا ہے
۵ وہ لہجے کی نرمی فصاحت بلاغت وہ بڑھ بڑھ کے حملے وہ ہاتھوں کی طاقت یہ جو روپ قاسم پہ آیا ہوا ہے
۶ یہ حور و ملائک یہ باغات میوے یہ قصرِ زمرد یہ نہریں یہ چشمے یہ جنت میں جو کچھ سجایا گیا ہے
۷ نبی نے کہا ہیں حسن آپ ایسے جو جھولے میں بھی لوحِ محفوظ پڑھ لے قلم وہ قلم جس کا مالک خدا ہے
۸ مجھے خوف کیا گر برا ہے زمانہ دعا آپ کی بھی ہے شانہ بہ شانہ کرم یہ جو ظلِ رضا پر ہوا ہے

Hasan Aapka Hai

Ye jo kuchh bhi maa bain arz o sama hai Khuda ki qasam ye Khuda keh raha hai
1 Ye chaand aur ye suraj ye gehre samandar Ye haiṅ kashtiyaṅ jo samandar ke andar Ye jo bhi jahaaṅ meiṅ jahaaṅ chal raha hai
2 Haiṅ wal lail zulfeṅ to walfajr maatha Haiṅ walnur aaṅkheṅ to washshams chehra Jo Quraan meiṅ Rab ne qasida parha hai
3 Jo mashriq o maghrib bana kar dikha de Jo ik mard ko pal meiṅ aurat bana de Khuda ke siwa kis ka ye mojiza hai
4 The hairaan sahaabi ye kya maajra hai Ye kaisa fariza ada ho raha hai Nabi jo ye masjid meiṅ naaqa bana hai
5 Wo lehje ki narmi fasaahat balaaghat Wo barh barh ke hamle wo haathoṅ ki taaqat Ye jo rup Qasim pe aaya hua hai
6 Ye hur o malaaik ye baaghaat mewe Ye qasr-e-zamurrad ye nehreṅ ye chashme Ye jannat meiṅ jo kuchh sajaaya gaya hai
7 Nabi ne kaha haiṅ Hasan aap aise Jo jhule meiṅ bhi lauh-e-mahfuz parh le Qalam wo qalam jis ka maalik Khuda hai
8 Mujhe khauf kya gar bura hai zamaana Dua aap ki bhi hai shaana ba shaana Karam ye jo Zill-e-Raza par hua hai