Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ہر ایک وقت میں اپنا نشان دیتا ہے

Har Aik Waqt Meiṅ Apna Nishaan Deta Hai

Add to set
Show

ہر ایک وقت میں اپنا نشان دیتا ہے

ہر ایک وقت میں اپنا نشان دیتا ہے کبھی وہ دھوپ کبھی سائبان دیتا ہے
۱ کبھی وہ قوتِ گویائی چھین لیتا ہے کبھی خاموش لبوں کو زبان دیتا ہے اسی نے پیدا کیا ہے گداز سینے میں وگرنہ کس کے لیے کون جان دیتا ہے
۲ ذرا جو دھوپ کی شدت حدوں سے بڑھ جائے وہ اٹھ کے ابر کی چادر کو تان دیتا ہے بڑائی اس کی فضاؤں سے آشکارا ہے یہی تو روز مؤذن اذان دیتا ہے
۳ لحد کی شکل میں دے یا محل کی صورت میں وہ لامکاں ہے سب کو مکان دیتا ہے وہ ایسا منصفِ آخر ہے روبرو جس کے میرے خلاف میرا دل بیان دیتا ہے
۴ یہ کائنات ہے اس کے حضور سجدہ ریز لگان جیسے زمین کا کسان دیتا ہے ریحان اعظمی اس کی عطا کا کیا کہنا زمین والوں کو جو آسمان دیتا ہے

Har Aik Waqt Meiṅ Apna Nishaan Deta Hai

Har aik waqt meiṅ apna nishaan deta hai Kabhi woh dhup kabhi saayebaan deta hai
1 Kabhi woh quwwat-e-goyaai chhin leta hai Kabhi khaamosh laboṅ ko zabaan deta hai Usi ne paida kiya hai gudaaz sine meiṅ Wagarna kis ke liye kaun jaan deta hai
2 Zara jo dhup ki shiddat hadoṅ se barh jaaye Woh uth ke abr ki chaadar ko taan deta hai Baraai us ki fazaaoṅ se aashkaara hai Yehi to roz muazzin azaan deta hai
3 Lahad ki shakl meiṅ de ya mahal ki surat meiṅ Woh laamakaaṅ hai sab ko makaan deta hai Woh aisa munsif-e-aakhir hai rubaru jis ke Mere khilaaf mera dil bayaan deta hai
4 Yeh kaainaat hai us ke huzur sajda rez Lagaan jaise zamin ka kisaan deta hai Rehan Azmi us ki ataa ka kya kehna Zamin waaloṅ ko jo aasmaan deta hai