ہنگام عصر ہے یہ شہ خوں اگل رہے ہیں
Hangaam-e-Asr Hai
Show
ہنگام عصر ہے یہ شہ خوں اگل رہے ہیں
ہنگام عصر ہے یہ شہ خوں اگل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
کل انبیاء سرہانے ہاتھوں کو مل رہے ہیں
۱
ایسا کوئی ستارہ سر قاسمہ ہے سارا
وہ آندھیاں ہیں سینوں میں دل بہل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۲
یعنی نہ ہے وہ زین پر یعنی نہ ہے زمین پر
تیروں پہ شاہ والا کروٹ بدل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۳
خون تو رگوں میں کیا ہے خشک اس قدر گلا ہے
قاتل بھی تھک کے اپنے خنجر بدل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۴
قد گردنیں کٹانے شبیر کو بچانے
جانے کو رن میں ہائے کم سن مچل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۵
زخموں سے جو رواں ہے ہائے لہو کہاں ہے
یہ نور کبریا کے چشم ابل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۶
ہر شام روز جس کو روئے گی یاد کر کے
وہ شام ڈھل رہی ہے قیام جل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۷
وہ ہو گیا زمانہ شانے سے تابہ شانا
تابوت چل رہا ہے کاندھے بدل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
۸
اک اے نوید ہے یہ کل کربلا کا حاصل
ہل من کے لفظ شہ کے منہ سے نکل رہے ہیں
اور تیر چل رہے ہیں
Hangaam-e-Asr Hai
Hangaam-e-asr hai ye Shah khuṅ ugal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
Kul ambiya sarhaane haathoṅ ko mal rahe haiṅ
1
Aisa koi sitaara sur khaasima hai saara
Wo aandhiyaaṅ haiṅ sinoṅ meiṅ dil behal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
2
Yaani na hai wo zin par yaani na hai zamin par
Tiroṅ pe Shaah-e-waala karwat badal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
3
Khun to ragoṅ meiṅ kya hai khushk is qadar gala hai
Qaatil bhi thak ke apne khanjar badal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
4
Khud gardaneṅ kataane Shabbir ko bachaane
Jaane ko ran meiṅ haaye kam sin machal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
5
Zakhmoṅ se jo rawaaṅ hai haaye lahu kahaaṅ hai
Ye nur-e-kibriya ke chashme ubal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
6
Har shaam roz jis ko roye gi yaad kar ke
Wo shaam dhal rahi hai qayyam jal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
7
Wo ho gaya zamaana shaane se taa ba shaana
Taabut chal raha hai kaandhe badal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ
8
Ek ae Naved hai ye kul Karbala ka haasil
Hal min ke lafz Shah ke munh se nikal rahe haiṅ
Aur tir chal rahe haiṅ