Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

مولا آ رہے ہیں

Hamare Ghar Mein

Add to set
Show

مولا آ رہے ہیں

مولا آ رہے ہیں ہمارے گھر میں مولا آ رہے ہیں
عزاخانے سجائے جا رہے ہیں ہمارے گھر میں مولا آ رہے ہیں
۱ کسی کی بھوک کا صدقہ تو دیکھو میرے بچے تبرک کھا رہے ہیں
۲ ابھی مانا علم عباس کا تھا ابھی منت بڑھانے آ رہے ہیں
۳ کہیں بچوں کو ماں رکھتی ہے گروی کہیں سقے بنائے جا رہے ہیں
۴ یہ جھولا یہ علم تابوت دیکھو زیارت کو ملایک آ رہے ہیں
۵ بڑے چھوٹوں کو منبر پر بٹھا کر ہے کیا کرب و بلا سمجھا رہے ہیں
۶ اگر چہ کٹ چکے بازو ہیں لیکن علم عباس کے لہرا رہے ہیں
۷ عزا کا فرش گھر میں بچھ چکا ہے امام عصر گھر میں آ رہے ہیں
۸ نہ پھٹ جائے کہیں ماں کا کلیجہ سناں سینے پہ اکبر کھا رہے ہیں
۹ یہ دیکھا مادر قاسم نے مولا اٹھا کر ایک گٹھڑی لا رہے ہیں
۱۰ قمر دیکھو بچھا کر چاندنی کو زمیں پہ آسماں کو لا رہے ہیں

Hamare Ghar Mein

Maula aa rahe haiṅ Hamare ghar meiṅ Maula aa rahe haiṅ
Azaakhane sajaaye jaa rahe haiṅ Hamare ghar meiṅ Maula aa rahe haiṅ
1 Kisi ki bhuk ka sadqa to dekho Mere bachche tabarruk khaa rahe haiṅ
2 Abhi maana alam Abbas ka tha Abhi mannat barhaane aa rahe haiṅ
3 Kahiṅ bachchoṅ ko maaṅ rakhti hai girwi Kahiṅ saqqe banaaye jaa rahe haiṅ
4 Ye jhula ye alam taabut dekho Ziyaarat ko malaaek aa rahe haiṅ
5 Bare chhotoṅ ko mimbar par bitha kar Hai kya Karb o Bala samjhaa rahe haiṅ
6 Agarche kat chuke baazu haiṅ lekin Alam Abbas ke lehraa rahe haiṅ
7 Aza ka farsh ghar meiṅ bich chuka hai Imam-e-Asr ghar meiṅ aa rahe haiṅ
8 Na phat jaaye kahiṅ maaṅ ka kaleja Sinaaṅ sine pe Akbar khaa rahe haiṅ
9 Ye dekha maadar-e-Qasim ne Maula Utha kar ek gathri laa rahe haiṅ
10 Qamar dekho bichhaa kar chaandni ko Zamiṅ pe aasmaaṅ ko laa rahe haiṅ