ہے کربلا کے بن میں غریبوں کا اربعیں
Hai Karbala Ke Ban
Show
ہے کربلا کے بن میں غریبوں کا اربعیں
ہے کربلا کے بن میں غریبوں کا اربعیں
۱
شبیر کے مزار پہ زینب کی ہے جبیں
آنسو بہا رہے ہیں کھڑے عابدِ حزیں
آباد تھی حسین کے قدموں سے یہ زمیں
اب حال یہ ہے سر پہ کوئی سائباں نہیں
۲
ماں جائے پہلے آگ لگی خیمہ گاہ میں
ہر داغ اک تازہ قیامت تھی راہ میں
بچی کی ہچکیوں کا ہے منظر نگاہ میں
زندانِ شام میں ہے سکینہ یہاں نہیں
۳
عباسِ نامور جو حرم کا تھا پاسباں
روتی تھی یاد کر کے جسے ساری بیبیاں
بس جس کی لاش پہ تھے شاہِ دوجہاں
لاشہ کہیں تھا ہاتھ کہیں اور علم کہیں
۴
بھیا ہمارے وعدے کی تکمیل ہو گئی
ایسا سفر ہوا ہے کہ سر پر ردا نہ تھی
دربارِ شام میں تھی قیامت کی بے بسی
رودادِ غم سُنانے کی طاقت بھی اب نہیں
۵
لیلیٰ تڑپ رہی تھی کہ دلبر نہیں رہا
لختِ جگر شبیہ پیمبر نہیں رہا
رونے کو ماں تو رہ گئی اکبر نہیں رہا
چہلم جوان بیٹے کا اور مادر حزیں
۶
فروہ کو یاد قاسم نوشاہ آ گیا
پہنچا جو قتل گاہ میں دولہا بنا ہوا
ٹکڑے ملے تھے جسم کے لاشہ نہیں ملا
جس کے لہو سے سرخ ہوئی تھی یہی زمیں
۷
عباس تم نہیں تھے قیامت گزر گئی
میں کربلا سے شام تک ننگے سر گئی
گود کے پالے مر گئے میں کیوں نہ مر گئی
زینب تڑپ رہی تھی لرزنے لگی زمیں
۸
کہتی تھی یہ رباب بچا لیجیے مجھے
مولا لحد میں اپنی چھپا لیجیے مجھے
گھر جا کے کیا کروں یہ بتا دیجیے مجھے
سنسان گود ہو گئی والی کوئی نہیں
۹
اہلِ جہاں کو ہو گی اگر حق کی جستجو
اختر اثر دکھائے گا مظلوم کا لہو
ہے غمزدہ بہن کی یہی ایک آرزو
آباد زائرین سے ہو جائے یہ زمیں
Hai Karbala Ke Ban
Hai Karbala ke ban meiṅ ghariboṅ ka arbaiṅ
1
Shabbir ke mazaar pe Zainab ki hai jabiṅ
Aansu baha rahe haiṅ khare Aabid-e-haziṅ
Aabaad thi Husain ke qadmoṅ se ye zamiṅ
Ab haal ye hai sar pe koi saayebaaṅ nahiṅ
2
Maaṅ jaaye pehle aag lagi khaima gaah meiṅ
Har daagh ek taaza qayaamat thi raah meiṅ
Bachchi ki hichkiyoṅ ka hai manzar nigaah meiṅ
Zindaan-e-Shaam meiṅ hai Sakina yahaaṅ nahiṅ
3
Abbas-e-naamwar jo haram ka tha paasbaaṅ
Roti thi yaad kar ke jise saari bibiyaaṅ
Beaas jis ki laash pe the Shaah-e-dojahaaṅ
Laasha kahiṅ tha haath kahiṅ aur alam kahiṅ
4
Bhaiya hamaare waade ki takmil ho gayi
Aisa safar hua hai ke sar par rida na thi
Darbaar-e-Shaam meiṅ thi qayaamat ki bebasi
Rudaad-e-gham sunaane ki ab taaqat bhi nahiṅ
5
Laila tarap rahi thi ke dilbar nahiṅ raha
Lakht-e-jigar shabih-e-Payambar nahiṅ raha
Rone ko maaṅ to reh gayi Akbar nahiṅ raha
Chehlum jawaan bete ka aur maadar-e-haziṅ
6
Farwa ko yaad Qaasim-e-naushaah aa gaya
Pahuncha jo qatl gaah meiṅ dulha bana hua
Tukre mile the jism ke laasha nahiṅ mila
Jis ke lahu se surkh hui thi yehi zamiṅ
7
Abbas tum nahiṅ the qayaamat guzar gayi
Maiṅ Karbala se Shaam talak nange sar gayi
Godi ke paale mar gaye maiṅ kiuṅ na mar gayi
Zainab tarap rahi thi larazne lagi zamiṅ
8
Kehti thi ye Rabaab bacha lijiye mujhe
Maula lahad meiṅ apni chhupa lijiye mujhe
Ghar jaa ke kya karuṅ ye bata dijiye mujhe
Sunsaan god ho gayi waali koi nahiṅ
9
Ahl-e-jahaaṅ ko hogi agar haq ki justuju
Akhtar asar dikhaayega mazlum ka lahu
Hai ghamzada behen ki yahi ek aarzu
Aabaad zaairin se ho jaaye ye zamiṅ