غازی عباس مولا عباس
Ghazi Abbas Sa
Show
غازی عباس مولا عباس
غازی عباس مولا عباس
غازی عباس سا دنیا میں علمدار نہیں ہے
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۱
ہیبتِ شیرِ الٰہی ہے جلالِ عباس
لال حیدر کا ہے یہ لوگوں غیر فرار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۲
کر کے قبضہ یوں نہر پہ یہی بولے عباس
بوند پانی کی بھی لوگوں ہمیں درکار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۳
خنجر و تیر و تبر میں ہے جو تنہا سرور
ہائے افسوس کہ اب فوج کا سالار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۴
لاشہ اکبر کا اٹھاتے ہیں شہ کربوبلا
کوئی پردیس میں اب مونس و غم خوار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۵
جلتے خیموں سے پکاری یہ جنابِ زینب
پاس میرے ہائے اب کوئی مددگار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
۶
یادِ عباس میں روتی ہے سکینہ عرفان
آج معصومہ کو زنداں میں قرار نہیں
جس طرح مثل کوئی حیدر کرار نہیں ہے
Ghazi Abbas Sa
Ghazi Abbas Maula Abbas
Ghazi Abbas sa duniya meiṅ alamdaar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
1
Haibat-e-Sher-e-Ilaahi hai jalaal-e-Abbas
Laal Haidar ka hai ye logoṅ ghair-e-farraar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
2
Kar ke qabza yuṅ nehr pe yehi bole Abbas
Bund paani ki bhi logoṅ hameiṅ darkaar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
3
Khanjar o tir o tabar meiṅ hai jo tanha Sarwar
Haaye afsos ke ab fauj ka saalaar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
4
Laasha Akbar ka uthaate haiṅ Shah-e-Karbobala
Koi pardes meiṅ ab monis o ghamkhwaar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
5
Jalte khaimoṅ se pukaari ye Janaab-e-Zainab
Paas mere haaye ab koi madadgaar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ
6
Yaad-e-Abbas meiṅ roti hai Sakina Irfan
Aaj Maasuma ko zindaaṅ meiṅ qaraar nahiṅ
Jis tarah misl-e-koi Haidar-e-Karraar nahiṅ