سنو روزہ داروں علی مرتضیٰ کے
Ghazab Ho Gaya Hai
Show
سنو روزہ داروں علی مرتضیٰ کے
سنو روزہ داروں علی مرتضیٰ کے
چلے تیغ سر پر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
۱
زمانے میں غم کی گھٹا چھا رہی ہے
بقیہ سے دیکھو صدا آ رہی ہے
بتا ابنِ ملجم ستم مرتضیٰ پر
یہ ڈھایا ہے کیوں کر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
۲
نبی کی لحد سے یہ آواز آئی
لہو میں ہے ڈوبا ہوا میرا بھائی
یہ اجرِ رسالت دیا مجھ کو کیسا
ہوا قلب مضطر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
۳
ہے کوفے کی گلیوں میں یہ آہ و زاری
مدد کون ہائے کرے اب ہماری
غریبوں یتیموں میں ہے شورِ ماتم
ہے نوحہ لبوں پر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
۴
یہ حسنین زینب سے کہتے ہیں رو کر
یتیمی کا صدمہ سہے کیسے دل پر
ہے تنہائی کیسی نہ بابا رہے اور
نہ ہے سر پہ مادر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
۵
جنازہ علی کا اٹھا ہائے ہائے
ہے اہلِ عزا میں بکا ہائے ہائے
بپا شورِ ماتم فلک پر ہے باقر
جو کہتے ہیں صفدر غضب ہو گیا ہے
ہے غم کا یہ منظر کہو خاک اڑا کر
غضب ہو گیا ہے
Ghazab Ho Gaya Hai
Suno rozadaaroṅ Ali Murtaza ke
Chali tegh sar par ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai
1
Zamaane meiṅ gham ki ghata chhaa rahi hai
Baqayya se dekho sada aa rahi hai
Bata Ibn-e-Muljim sitam Murtaza par
Ye dhaaya hai kiuṅ kar ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai
2
Nabi ki lahad se ye aawaaz aayi
Lahu meiṅ hai duba hua mera bhaai
Ye ajr-e-risaalat diya mujh ko kaisa
Hua qalb muztar ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai
3
Hai Kufe ki galiyoṅ meiṅ ye aah o zaari
Madad kaun haaye kare ab hamaari
Ghariboṅ yatimoṅ meiṅ hai shor-e-maatam
Hai noha laboṅ par ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai
4
Ye Hasnain Zainab se kehte haiṅ ro kar
Yatimi ka sadma sahe kaise dil par
Hai tanhaai kaisi na Baba rahe aur
Na hai sar pe maadar ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai
5
Janaaza Ali ka utha haaye haaye
Hai ahl-e-aza meiṅ buka haaye haaye
Bapa shor-e-maatam falak par hai Baqar
Jo kehta hai Safdar ghazab ho gaya hai
Hai gham ka ye manzar kaho khaak ura kar
Ghazab ho gaya hai