Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

گھر لٹ گیا رسول کا اماں اب آئی ہو

Ghar Lut Gaya Rasul

Add to set
Show

گھر لٹ گیا رسول کا اماں اب آئی ہو

گھر لٹ گیا رسول کا اماں اب آئی ہو بھائی شہید ہو گیا اماں اب آئی ہو
زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۱ کیسے بتائے قاسمِ نوشاہ کی داستاں بکھرے پڑے ہیں پھول زمیں پر یہاں وہاں زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۲ اٹھارہ سال پالا تھا جس کو خوشی خوشی قربان وہ بھی کر گیا سرور پہ زندگی زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۳ جو گھنٹیوں بھی چلنے کا قابل ابھی نہ تھا وہ بھی قضا کے ہاتھوں سے بے جان ہو گیا زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۴ بھائی پہ میرے لال بھی قربان ہو گئے قبضہ کیا فرات پر بے آب سو گئے زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۵ کرب و بلا میں آ کے اٹھائی وہ سختیاں چھینی گئی سکینہ کے کانوں سے بالیاں زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۶ زہرا یہ سوچتی رہی زینب کے بین پر کیا کیا ستم ہوئے ہیں ہمارے حسین پر زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو
۷ یہ بین کس زبان سے عشرت کروں رقم یہ لکھتے لکھتے اشک بہانے لگا قلم زینب کا یہ بیاں تھا اماں اب آئی ہو

Ghar Lut Gaya Rasul

Ghar lut gaya Rasul ka ammaṅ ab aayi ho Bhai shahid ho gaya ammaṅ ab aayi ho
Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
1 Kaise bataaye Qasim-e-nausha ki daastaaṅ Bikhre pare haiṅ phul zamiṅ par yahaaṅ wahaaṅ Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
2 Athaara saal paala tha jis ko khushi khushi Qurbaan wo bhi kar gaya Sarwar pe zindagi Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
3 Jo ghutniyoṅ bhi chalne ka qaabil abhi na tha Wo bhi qaza ke haathoṅ se bejaan ho gaya Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
4 Bhai pe mere laal bhi qurbaan ho gaye Qabza kiya Furaat par beaab so gaye Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
5 Karb o Bala meiṅ aa ke uthaayi wo sakhtiyaaṅ Chhini gayi Sakina ke kaanoṅ se baaliyaaṅ Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
6 Zehra ye sochti rahi Zainab ke bain par Kya kya sitam hue haiṅ hamaare Husain par Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho
7 Ye bain kis zabaan se Ishrat karuṅ raqam Ye likhte likhte ashq bahaane laga qalam Zainab ka ye bayaaṅ tha ammaṅ ab aayi ho