گھر فاطمہ زہرا کا عجب شان کا گھر ہے
Ghar Fatema Zehra
Show
گھر فاطمہ زہرا کا عجب شان کا گھر ہے
گھر فاطمہ زہراؑ کا عجب شان کا گھر ہے
یہ وحی کی منزل ہے یہ قرآن کا گھر ہے
۱
اسلام کے ماحول میں ایمان کا گھر ہے
مومن کی منافق کی یہ پہچان کا گھر ہے
کچھ لوگ مرے جاتے ہیں اس رنج و محن میں
اس گھر کا جو دروازہ ہے مسجد کے صحن میں
۲
اللہ نے اس گھر کو نبوت سے نوازا
دنیا میں اسے دین و شریعت سے نوازا
عصمت سے امامت سے ولایت سے نوازا
ہر فرد کو قرآن کی آیت سے نوازا
سانچے میں مشیعت کے یہ افراد ڈھلے ہیں
سب چادرِ تطہیر کے سائے میں پلے ہیں
۳
یہ عزم کے فولاد اسی گھر میں ملیں گے
یہ نور کے اسجاد اسی گھر میں ملیں گے
جبریلؑ کے استاد اسی گھر میں ملیں گے
اس سطح کے افراد اسی گھر میں ملیں گے
مخلوق کی بس آخری سرحد نظر آیا
جس فرد کو دیکھا وہ محمدؐ نظر آیا
۴
اصحابؓ مکرم ہیں مگر اپنی جگہ پر
غیر اپنی جگہ - لختِ جگر اپنی جگہ پر
خار اپنی جگہ - غنچہِ تر اپنی جگہ پر
سنگ اپنی جگہ - لعل و گوہر اپنی جگہ پر
پہلو میں جو بیٹھا ہو اسے دل نہیں کہتے
رہ رو کو کبھی رہبرِ منزل نہیں کہتے
۵
اللہ رے عزوشرفِ بنتِ رسالتؑ
قندیلِ حرم - شمعِ شبستانِ امامت
رحمت جو محمدؐ ہیں تو یہ پارہِ رحمت
وہ کلِ نبوت ہیں تو یہ جزوِ نبوت
آسان کہو معرفتِ ختمِ رسلؐ کو
جو جُز کو نہ سمجھا ہو وہ کیا سمجھے گا کُل کو
۶
ممکن نہیں امت کا قیاس آلِ نبیؑ پر
یہ لوگ الگ لوگ ہیں یہ گھر ہے الگ گھر
اس گھر کے تو بچے بھی بدل دیتے ہیں اکثر
انسان کی تقدیر - فرشتوں کا مقدر
راہب کو کئی لعل اسی گھر سے ملے ہیں
فطرس کو پروبال اسی گھر سے ملے ہیں
Ghar Fatema Zehra
Ghar Fatema Zehra ka ajab shaan ka ghar hai
Ye wahi ki manzil hai ye Quraan ka ghar hai
1
Islaam ke maahaul meiṅ imaan ka ghar hai
Momin ki munaafiq ki ye pehchaan ka ghar hai
Kuch log mare jaate haiṅ is ranj o mehan meiṅ
Is ghar ka jo darwaaza hai masjid ke sehan meiṅ
2
Allah ne is ghar ko nabuwwat se nawaaza
Dunya meiṅ ise din o shariat se nawaaza
Ismat se imaamat se wilaayat se nawaaza
Har fard ko Quraan ki aayat se nawaaza
Saanche meiṅ mashiyat ke ye afraad dhale haiṅ
Sab chaadar-e-Tathir ke saaye meiṅ pale haiṅ
3
Ye azm ke faulaad isi ghar meiṅ mileṅ ge
Ye nur ke asjaad isi ghar meiṅ mileṅ ge
Jibril ke ustaad isi ghar meiṅ mileṅ ge
Is satah ke afraad isi ghar meiṅ mileṅ ge
Makhluq ki bas aakhri sarhad nazar aaya
Jis fard ko dekha wo Muhammad nazar aaya
4
Ashaab mukarram haiṅ magar apni jagah par
Ghair apni jagah - lakht-e-jigar apni jagah par
Khaar apni jagah - ghuncha-e-tar apni jagah par
Sang apni jagah - laal o gauhar apni jagah par
Pehlu meiṅ jo baitha ho use dil nahiṅ kehte
Reh rau ko kabhi rehbar-e-manzil nahiṅ kehte
5
Allah re izz o sharaf-e-bint-e-risaalat
Qandil-e-haram - shama-e-shabistaan-e-imaamat
Rehmat jo Muhammad haiṅ to ye paara-e-rehmat
Wo kul-e-nabuwwat haiṅ to ye juzv-e-nabuwwat
Aasaan kaho maarifat-e-khatm-e-rusul ko
Jo juz ko na samjha ho wo kya samjhega kul ko
6
Mumkin nahiṅ ummat ka qiyaas Aal-e-Nabi par
Ye log alag log haiṅ ye ghar hai alag ghar
Is ghar ke to bachche bhi badal dete haiṅ aksar
Insaan ki taqdir - farishtoṅ ka muqaddar
Raahib ko kai laal isi ghar se mile haiṅ
Fitrus ko par o baal isi ghar se mile haiṅ