غم شہ میں جو آنکھوں سے رواں ہے
Ghame Sheh Meiṅ
Show
غم شہ میں جو آنکھوں سے رواں ہے
غم شہ میں جو آنکھوں سے رواں ہے
وہ آنسو قیمت باغ جناں ہے
۱
مقدر ہم بنا لیتے ہیں جس سے
کسی کے پاس وہ نسخہ کہاں ہے
۲
بغیر الفت آل محمد
عمل کیا زندگی بھی رایگاں ہے
۳
جسے کعبہ کہا کرتی ہے دنیا
ابو طالب کے بیٹے کا مکاں ہے
۴
سزائے موت دی باطل کو جس نے
وہ ایک چھ ماہ کا قانون داں ہے
۵
جو حر زندہ رہا حیران کیوں ہو
در شہ پر کوئی مرتا کہاں ہے
۶
اذاں گونجی علی اکبر کی رن میں
صدا پر سوز ہے لہجہ جواں ہے
۷
جو ہے منسوب اکبر سے جہاں میں
نمازوں کی محافظ وہ اذاں ہے
۸
علی اکبر کا یہ صدقہ ہے گوہر
خدا کا دین جو اب تک جواں ہے
Ghame Sheh Meiṅ
Gham-e-Sheh meiṅ jo aankhoṅ se rawaaṅ hai
Wo aansu qimat-e-baagh-e-jinaaṅ hai
1
Muqaddar hum bana lete haiṅ jis se
Kisi ke paas wo nuskha kahaaṅ hai
2
Baghair-e-ultaf-e-Aal-e-Muhammad
Amal kya zindagi bhi raaegaaṅ hai
3
Jise Kaaba kaha karti hai duniya
Abu Taalib ke bete ka makaaṅ hai
4
Sazaa-e-maut di baatil ko jis ne
Wo ek chhe maah ka qaanun daaṅ hai
5
Jo Hur zinda raha hairaan kiuṅ ho
Dar-e-Sheh par koi marta kahaaṅ hai
6
Azaaṅ gunji Ali Akbar ki ran meiṅ
Sada pur soz hai lehja jawaaṅ hai
7
Jo hai mansub Akbar se jahaaṅ meiṅ
Namaazoṅ ki muhaafiz wo azaaṅ hai
8
Ali Akbar ka ye sadqa hai Gohar
Khuda ka din jo ab tak jawaaṅ hai