فاطمہ نے ہاتھ پہلو پر رکھا ہے آج بھی
Fatema Ne Haath
Show
فاطمہ نے ہاتھ پہلو پر رکھا ہے آج بھی
فاطمہ نے ہاتھ پہلو پر رکھا ہے آج بھی
پسلیاں ٹوٹی ہے اور خوں رس رہا ہے آج بھی
۱
قبر میں نوحہ کناں ہے فاطمہ کی مامتا
ہائے محسن ہائے محسن کی صدا ہے آج بھی
۲
ماں کے ہاتھوں میں ہے کرتہ حضرتِ شبیر کا
قبر زہرا میں مسلسل کربلا ہے آج بھی
۳
ایک دن تہمت لگی ہے سیدہ چھوٹی ہو تم
فاطمہ زہرا کو صدمہ یہ بڑا ہے آج بھی
۴
روح زہرا کربلا اور شام میں کہتی ہے یہ
بیکفن بیٹا ہے بیٹی بے ردا ہے آج بھی
۵
مانگنے پر حق ملا جو امتی کے ہاتھ سے
نیل وہ زہرا کے چہرے پر جمع ہے آج بھی
۶
دکھ رہی ہے یا الٰہی میری ماں کی پسلیاں
پسلیاں تھامے یہ مہدی کی اذاں ہے آج بھی
۷
بین نوحہ اشک واری پر ہے پابندی وہاں
قبر زہرا پر ستم کا سلسلہ ہے آج بھی
۸
قبر میں یاسر محمد مصطفیٰ کی ہے بکا
یہ میرا غم ہے کہ زہرا غم زدہ ہے آج بھی
Fatema Ne Haath
Fatema ne haath pehlu par rakha hai aaj bhi
Pasliyaaṅ tuti hai aur khuṅ ris raha hai aaj bhi
1
Qabr meiṅ nauha kunaaṅ hai Fatema ki maamta
Haae Mohsin haae Mohsin ki sada hai aaj bhi
2
Maaṅ ke haathoṅ meiṅ hai kurta Hazrat-e-Shabbir ka
Qabr-e-Zehra meiṅ musalsal Karbala hai aaj bhi
3
Ek din tohmat lagi thi Sayyeda jhuti ho tum
Fatema Zehra ko sadma ye bara hai aaj bhi
4
Ruh-e-Zehra Karbala aur Shaam meiṅ kehti hai ye
Bekafan beta hai beti berida hai aaj bhi
5
Maangne par haq mila jo ummati ke haath se
Nil wo Zehra ke chehre par jama hai aaj bhi
6
Dukh rahi hai ya Ilaahi meri maaṅ ki pasliyaaṅ
Pasliyaaṅ thaame ye Mehdi ki azaaṅ hai aaj bhi
7
Bain nauha ashk waari par hai paabandi wahaaṅ
Qabr-e-Zehra par sitam ka silsila hai aaj bhi
8
Qabr meiṅ Yasir Muhammad Mustafa ki hai buka
Ye mera gham hai ke Zehra ghamzada hai aaj bhi