فریادِ زندانِ شام
Faryaad-e-Zindaan-e-Shaam
Show
فریادِ زندانِ شام
فریادِ زندانِ شام
میں ہوں زندانِ شام
۱
میں نے دیکھے ہزار ہا قیدی
ایسے قیدی مگر نہیں دیکھے
خوں میں ڈوبے بدن تو دیکھے ہیں
اس قدر خوں میں تر نہیں دیکھے
۲
میں نے دیکھے ہیں جتنے قیدی بھی
اُن کی آنکھوں سے اشک جاری تھے
اُن کے جسموں پہ زخم کاری تھے
اُن پہ لمحے اَلَم کے بھاری تھے
جن کا رونا مجھے رولاتا ہو
میں نے یوں نوحہ گَر نہیں دیکھے
۳
ایک قیدی تو اِن میں ایسا ہے
طوق جس کے گلے میں بھاری ہے
قافلے کا یہی مہاری ہے
جس کی آنکھوں سے خون جاری ہے
صبر کے جو ہنر ہیں پاس اِس کے
میں نے ایسے ہنر نہیں دیکھے
۴
شام روتے سحر کو روتے ہیں
بے کسی کے سفر کو روتے ہیں
تھام کر یہ جگر کو روتے ہیں
یاد کر کر کے گھر کو روتے ہیں
ایسا لگتا ہے اِن غریبوں نے
ایک مدت سے گھر نہیں دیکھے
۵
ایسے قیدی کہ جن کے آنے پر
قید خانے سجائے جاتے ہیں
خود رلاتے ہیں اور رونے پر
تازیانے لگائے جاتے ہیں
قیدیوں پر ستم تو دیکھے ہیں
پر ستم اس قدر نہیں دیکھے
۶
اِن کے رونے سے ایسا لگتا ہے
جیسے یہ دو جہان روتے ہیں
جب بھی کرتے ہیں رو کے یہ نالے
سب زمیں آسمان روتے ہیں
میں نے نالے کسی بھی قیدی کے
اس قدر پُر اثر نہیں دیکھے
۷
خود میں ہی قید ہو رہا ہوں میں
دیکھ کر اِن کو رو رہا ہوں میں
کیا بتاؤں یہ درد کیسا ہے
جس کو دل میں سمو رہا ہوں میں
میں نے مظلوم تو کئی دیکھے
ایسے مظلوم پر نہیں دیکھے
۸
اِس مصیبت پہ شکر کے سجدے
اتنی غربت پہ شکر کے سجدے
انبیاء بھی نہ کر سکے ہوں گے
ایسی حالت پہ شکر کے سجدے
جن کے سر پر ہو ناز سجدے کو
میں نے تو ایسے سر نہیں دیکھے
۹
ایسی قامت ہے اِن کی نور علی
دین کی قامتِ دراز ہیں یہ
ہیں نمازی کہ خود نماز ہیں یہ
دونوں عالم کے چارہ ساز ہیں یہ
قید میں قیدیوں کو دیکھا ہے
قید میں چارہ گر نہیں دیکھے
Faryaad-e-Zindaan-e-Shaam
Faryaad-e-zindaan-e-Shaam
Maiṅ huṅ zindaan-e-Shaam
1
Maiṅ ne dekhe hazaar haa qaidi
Aise qaidi magar nahiṅ dekhe
Khuṅ meiṅ dube badan to dekhe haiṅ
Is qadar khuṅ meiṅ tar nahiṅ dekhe
2
Maiṅ ne dekhe haiṅ jitne qaidi bhi
Un ki aankhoṅ se ashk jaari the
Un ke jismoṅ pe zakhm kaari the
Un pe lamhe alam ke bhaari the
Jin ka rona mujhe rulaata ho
Maiṅ ne yuṅ noha gar nahiṅ dekhe
3
Ek qaidi to in meiṅ aisa hai
Tauq jis ke gale meiṅ bhaari hai
Qaafile ka yahi mahaari hai
Jis ki aankhoṅ se khun jaari hai
Sabr ke jo hunar haiṅ paas is ke
Maiṅ ne aise hunar nahiṅ dekhe
4
Shaam rote sahar ko rote haiṅ
Bekasi ke safar ko rote haiṅ
Thaam kar ye jigar ko rote haiṅ
Yaad kar kar ke ghar ko rote haiṅ
Aisa lagta hai in ghariboṅ ne
Ek muddat se ghar nahiṅ dekhe
5
Aise qaidi keh jin ke aane par
Qaid khaane sajaaye jaate haiṅ
Khud rulaate haiṅ aur rone par
Taaziyaane lagaaye jaate haiṅ
Qaidiyoṅ par sitam to dekhe haiṅ
Par sitam is qadar nahiṅ dekhe
6
In ke rone se aisa lagta hai
Jaise ye do jahaan rote haiṅ
Jab bhi karte haiṅ ro ke ye naale
Sab zamiṅ aasmaan rote haiṅ
Maiṅ ne naale kisi bhi qaidi ke
Is qadar pur asar nahiṅ dekhe
7
Khud meiṅ hi qaid ho raha huṅ maiṅ
Dekh kar in ko ro raha huṅ maiṅ
Kya bataauṅ ye dard kaisa hai
Jis ko dil meiṅ samo raha huṅ maiṅ
Maiṅ ne mazlum to kai dekhe
Aise mazlum par nahiṅ dekhe
8
Is musibat pe shukr ke sajde
Itni ghurbat pe shukr ke sajde
Ambiya bhi na kar sake hoṅ ge
Aisi haalat pe shukr ke sajde
Jin ke sar par ho naaz sajde ko
Maiṅ ne to aise sar nahiṅ dekhe
9
Aisi qaamat hai in ki Nur Ali
Din ki qaamat-e-daraaz haiṅ ye
Haiṅ namaazi keh khud namaaz haiṅ ye
Donoṅ aalam ke chaarah saaz haiṅ ye
Qaid meiṅ qaidiyoṅ ko dekha hai
Qaid meiṅ chaarah gar nahiṅ dekhe