زینب کجا بازار کجا
Fakhre Maryam
Show
زینب کجا بازار کجا
زینب کجا بازار کجا
۱
فخر مریم بے ردا ہے شام کا بازار ہے
سج رہا دربار ہے شام کا بازار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی
سج رہا دربار ہے شام کا بازار ہے
۲
کیسے گزرے گی علی کی بیٹیاں بازار سے
سنگ باری ہو رہی ہے راستہ دشوار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی سج رہا دربار ہے
۳
بس نہ چلتا تھا مگر عابد سے وہ کہتی رہی
مارتا ہے کیوں طمانچے مجھ کو یہ بدکار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی سج رہا دربار ہے
۴
ماں سوا سجاد کے میرے بچہ کوئی نہیں
یوں نہ مارو ظالموں بیمار ہے لاچار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی سج رہا دربار ہے
۵
مسئلہ یہ ہے کہ تم نے اس کو پہچانا نہیں
جس کو باغی کہہ رہے ہو خلد کا سردار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی سج رہا دربار ہے
۶
رو برو بابا کے اپنے جو نہ بولی تھی امیر
تین دن دیتی رہی بازار میں نرو وار ہے
بھیڑ ہے بازاریوں کی سج رہا دربار ہے
Fakhre Maryam
Zainab kuja bazaar kuja
1
Fakhr-e-Maryam berida hai Shaam ka bazaar hai
Saj raha darbaar hai Shaam ka bazaar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki
Saj raha darbaar hai Shaam ka bazaar hai
2
Kaise guzre gi Ali ki betiyaaṅ bazaar se
Sang baari ho rahi hai raasta dushwaar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki saj raha darbaar hai
3
Bas na chalta tha magar Aabid se wo kehti rahi
Maarta hai kiuṅ tamaanche mujh ko ye badkaar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki saj raha darbaar hai
4
Maaṅ siwa Sajjad ke mere bachcha koi nahiṅ
Yuṅ na maaro zaalimoṅ bimaar hai laachaar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki saj raha darbaar hai
5
Masala ye hai ke tum ne us ko pehchaana nahiṅ
Jis ko baaghi keh rahe ho khuld ka sardaar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki saj raha darbaar hai
6
Ru ba ru baba ke apne jo na boli thi Amir
Tin din deti rahi bazaar meiṅ niru waar hai
Bhir hai baazaariyoṅ ki saj raha darbaar hai