ایک لٹا قافلہ سفر میں ہے
Ek Luta Qaafila Safar
Show
ایک لٹا قافلہ سفر میں ہے
ایک لٹا قافلہ سفر میں ہے
ہر قدم کربلا نظر میں ہے
۱
قلب میں سب کے داغ اکبر ہے
اور نظروں میں زخم اکبر ہے
پاس شہ رگ کے کند خنجر ہے
خشک ہونٹوں پہ نام حیدر ہے
مقصد شاہ دیں نظر میں ہے
۲
قافلے میں بہت سے بچے تھے
گیارہویں کو جو کربلا سے چلے
راستوں میں گرے تھے اونٹوں سے
اس طرح سے کہ پھر کبھی نہ اٹھے
موت کی گونج رہ گذر میں ہے
۳
قافلے میں ہیں ایسی مائیں بھی
گود اجڑی چھینی ردائیں بھی
اب تو لب پر نہیں دعائیں بھی
سو گئیں تھک کے سب صدائیں بھی
بس دھواں ہی دھواں نظر میں ہے
۴
ایک بیمار قافلہ سالار
طوق و زنجیر کا اٹھائے بار
مائوں بہنوں کا ساتھ اور بازار
آخری مرحلہ بھرا دربار
صبر ہی صبر راہ بار میں ہے
۵
رونق قافلہ تھی ایک بچی
باپ کو یاد کر کے جب روتی
اس کو اس جرم کی سزا ملتی
ظلم اتنا ہوا کہ جی نہ سکی
اب وہ بچی اندھیرے گھر میں ہے
۶
ہو چکی جب تمام رسوائی
یعنی اسلام کی مسیحائی
قافلہ لے کے شہہ کی ماں جائی
لٹ کے نینوا کی سمت آئی
عصر عاشور چشم تر میں ہے
۷
جب مدینے کو جائے گا کنبہ
ہوں گی شاہد قیامتیں برپا
سوچتی ہے یہ زینب کبریٰ
کیسے صغرا کا سامنا ہو گا
شکل صغرا کی بس نظر میں ہے
Ek Luta Qaafila Safar
Ek luta qaafila safar meiṅ hai
Har qadam Karbala nazar meiṅ hai
1
Qalb meiṅ sab ke daagh-e-Akbar hai
Aur nazroṅ meiṅ zakhm-e-Asghar hai
Paas shah rag ke kund khanjar hai
Khushk hontoṅ pe naam-e-Haider hai
Maqsad-e-Shaah-e-Diṅ nazar meiṅ hai
2
Qaafile meiṅ bahut se bachche the
Gyaarahwiṅ ko jo Karbala se chale
Raastoṅ meiṅ gire the uṅtoṅ se
Is tarah se ke phir kabhi na uthe
Maut ki gunj rahguzar meiṅ hai
3
Qaafile meiṅ haiṅ aisi maaeṅ bhi
God ujri chhini ridaaeṅ bhi
Ab to lab par nahiṅ duaaeṅ bhi
So gayiṅ thak ke sab sadaaeṅ bhi
Bas dhuaaṅ hi dhuaaṅ nazar meiṅ hai
4
Ek bimaar qaafila saalaar
Tauq o zanjir ka uthaye baar
Maaoṅ behnoṅ ka saath aur baazaar
Aakhri marhala bhara darbaar
Sabr hi sabr rahbar meiṅ hai
5
Raunaq-e-qaafila thi ek bachchi
Baap ko yaad kar ke jab roti
Us ko is jurm ki saza milti
Zulm itna hua ke ji na saki
Ab wo bachchi andhere ghar meiṅ hai
6
Ho chuki jab tamaam ruswaai
Yaani Islam ki masihaai
Qaafila le ke Shah ki maa jaai
Lut ke Nainawa ki simt aayi
Asr-e-Aashur chashm-e-tar meiṅ hai
7
Jab Madine ko jaayega kunba
Hoṅ gi Shahid qayaamateṅ barpa
Sochti hai ye Zainab-e-Kubra
Kaise Sughra ka saamna hoga
Shakl-e-Sughra ki bas nazar meiṅ hai