Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

ڈھونڈتی پھرتی ہے زینب لاشوں میں عباس کو

Dhundti Phirti Hai

Add to set
Show

ڈھونڈتی پھرتی ہے زینب لاشوں میں عباس کو

ڈھونڈتی پھرتی ہے زینب لاشوں میں عباس کو کرتی ہے محسوس رو کے آہوں میں عباس کو
۱ فکر ہے مقتل میں زینب کو فقط لاحق یہی رسیاں آئے نظر نہ باہوں میں عباس کو
۲ مانگنے واپس ضمانت چادروں کی آ گئی دیکھا ہے جب برچیوں کی چاہوں میں عباس کو
۳ کس طرح بن بازوؤں کا لاشہ بھولے گی بہن کہ جواں ہوتے ہے دیکھا ہاتھوں میں عباس کو
۴ ذکر اپنوں سے بچھڑنے کا کہیں بھی گر ہوا لے ہی آتی تھی وہ دکھیا باتوں میں عباس کو
۵ گر ہی جاتا ہے سناں کی نوک سے ہر بار سر بے ردا سر جب دکھا ہے راہوں میں عباس کو
۶ جو وفائیں جانتی ہے ہے دلوں میں با خدا بندگی کا رتبہ حاصل ماؤں میں عباس کو
۷ قلب زینب ہی سلامت جانتا ہے کس طرح لوٹ آئی ہے وہ لے کر یادوں میں عباس کو

Dhundti Phirti Hai

Dhundti phirti hai Zainab laashoṅ meiṅ Abbas ko Karti hai mehsus ro ke aahoṅ meiṅ Abbas ko
1 Fikr hai maqtal meiṅ Zainab ko faqat laahaq yahi Rassiyaaṅ aaye nazar na baahoṅ meiṅ Abbas ko
2 Maangne waapas zamaanat chaadaroṅ ki aa gayi Dekha hai jab barchiyoṅ ki chhaaoṅ meiṅ Abbas ko
3 Kis tarah bin baazuoṅ ka laasha bhulegi behan Ke jawaaṅ hote hai dekha haathoṅ meiṅ Abbas ko
4 Zikr apnoṅ se bichharne ka kahiṅ bhi gar hua Le hi aati thi wo dukhiya baatoṅ meiṅ Abbas ko
5 Gir hi jaata hai sinaaṅ ki nok se har baar sar Berida sar jab dikha hai raahoṅ meiṅ Abbas ko
6 Jo wafaaeṅ jaanti hai hai diloṅ meiṅ ba Khuda Bandagi ka rutba haasil maaoṅ meiṅ Abbas ko
7 Qalb-e-Zainab hi salaamat jaanta hai kis tarah Laut aayi hai wo le kar yaadoṅ meiṅ Abbas ko