رن میں لاشے پہ ہے پڑے نیزوں پہ سر آے ہیں
Dekh Shireen
Show
رن میں لاشے پہ ہے پڑے نیزوں پہ سر آے ہیں
رن میں لاشے پہ ہے پڑے نیزوں پہ سر آے ہیں
دیکھ شیریں تیرے آقا تیرے گھر آے ہیں
۱
بال چہرے پہ ہے جس کے تیری شہزادی ہے
جس کے شانوں پہ نشاں رسی کا فریادی ہے
کتنے نشتر دلِ زینب میں اتر آے ہیں
۲
جن کا پہرہ کبھی عباس دیا کرتے تھے
نوکری جن کی ملائک آ کے کیا کرتے تھے
تیرے گھر آج وہی خاک بسر آے ہیں
۳
کون سا حشر کا منظر نہ نگاہوں میں پھرا
سر بھی نیزے سے سر راہ کیء بار گراں
دیکھ کس حال میں ہاشم کے قمر آے ہیں
۴
ہاتھ سینے پہ دھرے بیٹھی ہے ام لیلیٰ
درد جو دل میں ہے تب ہو گیا وہ اور زیادہ
جب بھی قاتل علی اکبر کے نعرے آے ہیں
۵
تو نے دالان میں ڈالا ہے یہ کس کا جھولا
تیر سے چھد گیا مقتل میں گلا اصغر کا
چھ مہینے کے ہیں نیزے پہ مگر آے ہیں
۶
وہ سکینہ ہے جو سہمی ہوئی بیٹھی ہے وہاں
جا کے نزدیک ذرا دیکھ طمانچوں کے نشاں
سر پہ چادر ہے نہ کانوں کے گوہر آے ہیں
۷
ام فروہ کو بھی پرسہ دو ذرا قاسم کا
غم نہ بھولے گی کبھی کربوبلا قاسم کا
لاش بھی ٹکڑوں میں تقسیم جو کر آے ہیں
۸
دیکھ زنجیروں میں جکڑا ہے تیرا شہزادہ
پھپھیاں بے پردہ ہے اٹھتا نہیں سر عابد کا
لے کے کنبے کے اجڑنے کی خبر آے ہیں
۹
شہ نے عامر تجھے یہ دیدۂ نم بخشا ہے
در پہ غازی نے بلا کر یہ قلم بخشا ہے
تب تیرے مصرعوں میں نیر یہ اثر آے ہیں
Dekh Shireen
Ran meiṅ laashe haiṅ pare nezoṅ pe sar aaye haiṅ
Dekh Shiriṅ tere aaqa tere ghar aaye haiṅ
1
Baal chehre pe hai jis ke teri shehzaadi hai
Jis ke shaanoṅ pe nishaaṅ rassi ka faryaadi hai
Kitne nashtar dil-e-Zainab meiṅ utar aaye haiṅ
2
Jin ka pehra kabhi Abbas diya karte the
Naukri jin ki malaaik aa ke kiya karte the
Tere ghar aaj wohi khaak basar aaye haiṅ
3
Kaun sa hashr ka manzar na nigaahoṅ meiṅ phira
Sar bhi neze se sar-e-raah kai baar gira
Dekh kis haal meiṅ Hashim ke qamar aaye haiṅ
4
Haath sine pe dhare baithi hai Umm-e-Laila
Dard jo dil meiṅ hai tab ho gaya wo aur ziyaada
Jab bhi qaatil Ali Akbar ke naare aaye haiṅ
5
Tu ne daalaan meiṅ daala hai ye kis ka jhula
Tir se chhid gaya maqtal meiṅ gala Asghar ka
Chhe mahine ke haiṅ neze pe magar aaye haiṅ
6
Wo Sakina hai jo sehmi hui baithi hai wahaaṅ
Jaa ke nazdik zara dekh tamaaṅchoṅ ke nishaaṅ
Sar pe chaadar hai na kaanoṅ ke gauhar aaye haiṅ
7
Umm-e-Farwa ko bhi pursa do zara Qasim ka
Gham na bhule gi kabhi Karbobala Qasim ka
Laash bhi tukroṅ meiṅ taqsim jo kar aaye haiṅ
8
Dekh zanjiroṅ meiṅ jakra hai tera shehzaada
Phuphiyaṅ beparda hai uthta nahiṅ sar Abid ka
Le ke kunbe ke ujarne ki khabar aaye haiṅ
9
Shah ne Aamir tujhe ye dida-e-nam bakhsha hai
Dar pe Ghazi ne bula kar ye qalam bakhsha hai
Tab tere misroṅ meiṅ Nayyar ye asar aaye haiṅ