دین احمد کی بقا ہے کربلا
Din-e-Ahmed Ki Baqaa
Show
دین احمد کی بقا ہے کربلا
دین احمد کی بقا ہے کربلا
سجدہ گاہ انبیاء ہے کربلا
۱
ظلم کی آندھی میں حق کی جستجو
تشنگی کرتی ہے زخموں سے وضو
صبر کے بندے کی رب سے گفتگو
حشر تک حق کی صدا ہے کربلا
۲
ان فضاؤں میں ہے اکبر کی اذاں
کربلا حق کا ہے ایسا کارواں
آج تک قائم ہے جس کا پاسباں
نور کا ایک سلسلہ ہے کربلا
۳
تشنگی کے خوں کی تحریر ہے
کربلا قرآن کی تفسیر ہے
کربلا اسلام کی تقدیر ہے
حق کا ایک روشن دیا ہے کربلا
۴
کربلا احساس کی پہچان ہے
کربلا کا دین پر احسان ہے
کربلا ہر رخ سے عالیشان ہے
فکر کی حد سے سوا ہے کربلا
۵
دل ہے کربل مطمئن اہلِ یقیں
اس سے بہتر سر زمیں کوئی نہیں
جھکتی ہے یاں آسمانوں کی جبیں
ہر بلندی کا پتہ ہے کربلا
۶
فخر جب کعبے کی دھرتی نے کیا
دفعتاً یہ عرش سے آئی صدا
ہے کہاں تجھ میں بھلا خاک شفا
تجھ سے رتبے میں سوا ہے کربلا
۷
ہے کہاں اس خاک کا نیمل بدل
پیاس کی دھرتی پہ اشکوں کا محل
کربلا حی علی خیر العمل
بندگی کی انتہا ہے کربلا
۸
کربلا کا غم نظر کی پیاس ہے
کربلا احساس ہی احساس ہے
کربلا ٹوٹے دلوں کی آس ہے
زندگی کا حوصلہ ہے کربلا
۹
تھا کہیں نوشاہ کا ٹکڑے بدن
آسماں تھا بکھرے لاشے کا کفن
بے ردا تھی چند لمحوں کی دلہن
کعبۂ صبر و رضا ہے کربلا
۱۰
دشت میں میت ہے شہ کی بیکفن
چھن گئی چادر ہے بازو میں رسن
کیا کرے عباس کی بیکفن بہن
صبر کا ایک معرکہ ہے کربلا
۱۱
ہے غم سرور شعار انبیاء
یہ سلیقہ بنت زہرا کی عطا
خاک پہ ہوتا ہے ذکرِ کربلا
ٹوٹے دل کا آسرا ہے کربلا
۱۲
بیکفن لاشے مقتل میں پڑے
ایک رسن بارہ اسیروں کے گلے
قافلہ پیاسا ہے زخمی راستے
ہمت زین العبا ہے کربلا
۱۳
آگ دامن میں سکینہ کے لگی
تازیانے شمر کے کھاتی رہی
جلتے زخموں نے بڑھائی تشنگی
پیاس کا اک معجزہ ہے کربلا
۱۴
یوں ملا پرسہ یتیمی کو یہاں
گال پر ابھرے طمانچوں کے نشاں
کان زخمی ہیں کہاں ہیں بالیاں
ایک مسلسل مرثیہ ہے کربلا
۱۵
مجلس شبیر ہوتی ہے جہاں
فاطمہ تشریف لاتی ہیں وہاں
اے رشید ایسی عبادت ہے کہاں
ہاں مقدر کی عطا ہے کربلا
Din-e-Ahmed Ki Baqaa
Din-e-Ahmed ki baqaa hai Karbala
Sajdagaah-e-ambiya hai Karbala
1
Zulm ki aaṅdhi meiṅ haq ki justaju
Tashnagi karti hai zakhmoṅ se wuzu
Sabr ke bande ki Rab se guftagu
Hashr tak haq ki sadaa hai Karbala
2
In fazaaoṅ meiṅ hai Akbar ki azaaṅ
Karbala haq ka hai aisa kaarwaaṅ
Aaj tak qaayam hai jis ka paasbaaṅ
Nur ka ek silsila hai Karbala
3
Tashnagi ke khuṅ ki tahrir hai
Karbala Quraan ki tafsir hai
Karbala Islam ki taqdir hai
Haq ka ek roshan diya hai Karbala
4
Karbala ehsaas ki pehchaan hai
Karbala ka din par ehsaan hai
Karbala har rukh se aalishaan hai
Fikr ki had se siwa hai Karbala
5
Dil hai Karbal mutmain ahl-e-yaqiṅ
Is se behtar sar zamiṅ koi nahiṅ
Jhukti hai yaaṅ aasmaanoṅ ki jabiṅ
Har bulandi ka pata hai Karbala
6
Fakhr jab Kaabe ki dharti ne kiya
Dafatan ye arsh se aayi sadaa
Hai kahaaṅ tujh meiṅ bhala khaak-e-shifa
Tujh se rutbe meiṅ siwa hai Karbala
7
Hai kahaaṅ is khaak ka naimul badal
Pyaas ki dharti pe ashkoṅ ka mahal
Karbala hayya ala khairil amal
Bandagi ki inteha hai Karbala
8
Karbala ka gham nazar ki pyaas hai
Karbala ehsaas hi ehsaas hai
Karbala tute diloṅ ki aas hai
Zindagi ka hausla hai Karbala
9
Tha kahiṅ naushaah ka tukre badan
Aasmaaṅ tha bikhre laashe ka kafan
Berida thi chand lamhoṅ ki dulhan
Kaaba-e-sabr o raza hai Karbala
10
Dasht meiṅ mayyat hai Shah ki bekafan
Chhin gayi chaadar hai baazu meiṅ rasan
Kya kare Abbas ki bekafan behan
Sabr ka ek maaraka hai Karbala
11
Hai gham-e-Sarwar shiaar-e-ambiya
Ye saliqa Bint-e-Zehra ki ataa
Khaak pe hota hai zikr-e-Karbala
Tute dil ka aasra hai Karbala
12
Bekafan laashe maqtal meiṅ pare
Ek rasan baarah asiroṅ ke gale
Qaafila pyaasa hai zakhmi raaste
Himmat-e-Zainul Aba hai Karbala
13
Aag daaman meiṅ Sakina ke lagi
Taaziyaane Shimr ke khaati rahi
Jalte zakhmoṅ ne barhaayi tashnagi
Pyaas ka ik mojiza hai Karbala
14
Yuṅ mila pursa yatimi ko yahaaṅ
Gaal par ubhre tamaanchoṅ ke nishaaṅ
Kaan zakhmi haiṅ kahaaṅ haiṅ baaliyaaṅ
Ek musalsal marsiya hai Karbala
15
Majlis-e-Shabbir hoti hai jahaaṅ
Fatema tashrif laati haiṅ wahaaṅ
Ae Rashid aisi ibaadat hai kahaaṅ
Haaṅ muqaddar ki ataa hai Karbala