درد سجاد کے قرطاس پہ لاؤں کیسے
Dard Sajjad Ke Khirtas
Show
درد سجاد کے قرطاس پہ لاؤں کیسے
درد سجاد کے قرطاس پہ لاؤں کیسے
ہائے روتا ہے قلم لفظ بناؤں کیسے
۱
جن کی مادر کا جنازہ تھا اٹھا رات کے وقت
سر برہنہ سر بازار بلاؤں کیسے
۲
رسیاں پاؤں میں چھالے تھے طمانچوں کے نشاں
حسرت و یاس کی میت کو اٹھاؤں کیسے
۳
پاب جولن ہوں میں ہے طوقِ گریاں زیب گلو
اونٹوں سے گرتے ہوئے بچے اٹھاؤں کیسے
۴
زخم جو جسم پہ آئے ہیں دکھا سکتا ہوں
دل نے جو شام میں کھائے ہیں دکھاؤں کیسے
۵
کربلا کوفہ کو شام میں تکریم ہوئی
روح اجداد تڑپتی ہے سناؤں کیسے
۶
نو سو درباری تھے ناموس نبی پیش ہوئی
ہوں غیور خون نہ آنکھوں سے بہاؤں کیسے
۷
ابر تھا پتھروں کا قہقہے بھی طعنے تھے
تنگ بازاروں سے بازاری ہٹاؤں کیسے
۸
اے زمانے کے یزیدوں نہ کہو نجفی سے
خاک کے نور سے اوقات بتاؤں کیسے
Dard Sajjad Ke Khirtas
Dard Sajjad ke qirtaas pe laauṅ kaise
Haaye rota hai qalam lafz banaauṅ kaise
1
Jin ki maadar ka janaaza tha utha raat ke waqt
Sar barehna sar-e-baazaar bulaauṅ kaise
2
Rassiyaaṅ paaoṅ meiṅ chhaale the tamaanchoṅ ke nishaaṅ
Hasrat o yaas ki mayyat ko uthaauṅ kaise
3
Paab jaulan huṅ maiṅ hai tauq-e-giryaaṅ zeb-e-gulu
Uṅtoṅ se girte hue bachche uthaauṅ kaise
4
Zakhm jo jism pe aaye haiṅ dikha sakta huṅ
Dil ne jo Shaam meiṅ khaaye haiṅ dikhaauṅ kaise
5
Karbala Kufa ko Shaam meiṅ takrim hui
Ruh-e-ajdaad tarapti hai sunaauṅ kaise
6
Nau sau darbaari the naamus-e-Nabi pesh hui
Huṅ ghayur khun na aaṅkhoṅ se bahaauṅ kaise
7
Abr tha pattharoṅ ka qahqahe bhi taane the
Tang baazaaroṅ se baazaari hataauṅ kaise
8
Ae zamaane ke Yazidoṅ na kaho Najfi se
Khaak ke nur se auqaat bataauṅ kaise