Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

میں فاطمہ کی دختر دربار کیسے جاؤں

Darbar Kaise Jauṅ

Add to set
Show

میں فاطمہ کی دختر دربار کیسے جاؤں

میں فاطمہ کی دختر دربار کیسے جاؤں سر پر نہیں ہے چادر دربار کیسے جاؤں
۱ قاتل کا سامنا ہے کتنی کٹھن گھڑی ہے دربار سج رہا ہے زینب ابھی کھڑی ہے ایک ایک پل ہے دوبھر دربار کیسے جاؤں
۲ حاکم کہاں کہاں کے کرسی نشین ہوں گے روئے گی بنتِ زہرا اور خوش لعیں ہوں گے پیشِ نظر ہے محشر دربار کیسے جاؤں
۳ بھائی کہاں ہے زندہ پہرہ جو آ کے دیتے ہوتے اگر بھتیجے حلقے میں مجھ کو لیتے عباس ہے نہ اکبر دربار کیسے جاؤں
۴ نرغے میں اشقیاء کے ہوگا میرا تعارف میں کچھ نہ کہہ سکوں گی اف میری بیکسی اف موت آ نہ جائے گھٹ کر دربار کیسے جاؤں
۵ بازار کے غموں سے ہستی بکھر چکی ہے دربار کیسے جائے زینب تو مر گئی ہے بالوں سے منہ چھپا کر دربار کیسے جاؤں
۶ کس شہرِ بے وفا میں لائی ہے مجھ کو غربت اپنے کو میں چھپا لوں پاؤں جو کوئی تربت وہ بھی نہیں میسر دربار کیسے جاؤں
۷ مشکل بہت ہے لیکن عابد یہ غم اٹھا لو زنجیرِ ظلم تھامو طوقِ ستم سنبھالو ہاں کھینچ لو یہ لنگر دربار کیسے جاؤں
۸ میں ہر ستم سہوں گی ڈھائے گا جو زمانہ بھائی سے جو کیا ہے وعدہ ہے وہ نبھانا اب یہ کہوں تو کیوں کر دربار کیسے جاؤں
۹ عامر قریبِ بابِ ساعت پہ زلزلہ تھا نیر یہیں پہ زینب نے مرثیہ پڑھا تھا نوحہ ہے ہر زباں پر دربار کیسے جاؤں

Darbar Kaise Jauṅ

Maiṅ Faatima ki dukhtar darbaar kaise jaauṅ Sar par nahiṅ hai chaadar darbaar kaise jaauṅ
1 Qaatil ka saamna hai kitni kathin ghari hai Darbaar saj raha hai Zainab abhi khari hai Ek ek pal hai dubhar darbaar kaise jaauṅ
2 Haakim kahaaṅ kahaaṅ ke kursi nashin hoṅ ge Royegi bint-e-Zehra aur khush laiṅ hoṅ ge Pesh-e-nazar hai mahshar darbaar kaise jaauṅ
3 Bhaai kahaaṅ hai zinda pehra jo aa ke dete Hote agar bhatije halqe meiṅ mujh ko lete Abbas hai na Akbar darbaar kaise jaauṅ
4 Narghe meiṅ ashqiyaa ke hoga mera taaruf Maiṅ kuchh na keh sakuṅ gi uf meri bekasi uf Maut aa na jaaye ghut kar darbaar kaise jaauṅ
5 Baazaar ke ghamoṅ se hasti bikhar chuki hai Darbaar kaise jaaye Zainab to mar gayi hai Baaloṅ se muṅh chhupa kar darbaar kaise jaauṅ
6 Kis shahr-e-bewafa meiṅ laayi hai mujh ko ghurbat Apne ko maiṅ chhupa luṅ paauṅ jo koi turbat Wo bhi nahiṅ mayassar darbaar kaise jaauṅ
7 Mushkil bahut hai lekin Abid ye gham utha lo Zanjir-e-zulm thaamo tauq-e-sitam sambhaalo Haaṅ kheṅch lo ye langar darbaar kaise jaauṅ
8 Maiṅ har sitam sahuṅ gi dhaayega jo zamaana Bhaai se jo kiya hai waada hai wo nibhaana Ab ye kahuṅ to kiuṅ kar darbaar kaise jaauṅ
9 Aamir qarib-e-baab-e-saaat pe zalzala tha Nayyar yahiṅ pe Zainab ne marsiya parha tha Nauha hai har zabaaṅ par darbaar kaise jaauṅ