داستانِ شجاعت کا داریں میں
Daastaan-e-Shujaat Ka Daraiṅ Meiṅ
Show
داستانِ شجاعت کا داریں میں
داستانِ شجاعت کا داریں میں
ایک بے مثل کردار عباسؑ ہے
ہیں علیؑ کے اٹھارہ ہی بیٹے علیؑ
پر سبھی میں علمدار عباسؑ ہے
۱
ان کے لہجے میں ہاشم کی حشمت بھی ہے
ان کے تیور میں حمزہ کی ہیبت بھی ہے
ہر ادا ان کی عمران کا عکس ہے
ان کی بازوؤں میں جعفر کی طاقت بھی ہے
پیار ہے مصطفی کا حسینؑ و حسنؑ
اور حسنینؑ کا پیار عباسؑ ہے
۲
نقلِ عظمت کا شیریں ثمر ہیں یہی
عصمتوں کے صدف کے گہر ہیں یہی
نور کی سدرۃ المنتہیٰ ہیں یہی
ہاشمی آسماں کے قمر ہیں یہی
جن کے سائے میں اکبرؑ بھی پلتے رہے
حسن کا ایسا مینار عباسؑ ہے
۳
ہل اَتیٰ اِنَّما کی جو مصداق ہے
وہ بھی غازی کے آنے کی مشتاق ہے
عرش سے فرش تک ان کی جاگیر ہے
ساری مخلوق ان کی گداگیر ہے
جو علیؑ کی شجاعت کا وارث بھی ہے
ایسا اعلیٰ زمیندار عباسؑ ہے
۴
مشک میں کیوں نہ دریا اٹھا لائے وہ
فاطمہ نے جسے اپنا بیٹا کہا
بابِ خیبر تھا کل ہاتھ پہ آپ کے
یا نگاہوں میں لشکر تھا نو لاکھ کا
یا علی ہے اگر ذوالفقار آپ کی
فاطمہ کی تو تلوار عباس ہے
۵
صاحبِ تختِ عقل کی غیرت ہے یہ
اور چراغِ حریمِ شرافت ہے یہ
دُرِّ شہوار بحرِ سخاوت ہے یہ
حق تو یہ ہے کہ حق کی حقیقت ہے یہ
وہ دعائیں جو بی بیؑ نے سجدوں میں کیں
ان دعاؤں کا معیار عباسؑ ہے
۶
قبر کیا ہے اندھیرا سا گھر ہے جہاں
معرفت کے سوا کوئی سپنا نہیں
وہ بہت ہی اندھیری جگہ ہے وہاں
کوئی یاور نہیں کوئی اپنا نہیں
تم سے ملنے لحد میں علیؑ آئیں گے
بولو تنہائی میں اور کیا چاہیے
Daastaan-e-Shujaat Ka Daraiṅ Meiṅ
Daastaan-e-Shujaat ka daraiṅ meiṅ
aik bemisl kirdar Abbas hai
Haiṅ Ali ke Athara Hi bete Ali
Par sabhi meiṅ Alamdar Abbas Hai
1
In ke lehje meiṅ Hashim ki hashmat bhi hai
In ke tewar meiṅ Hamza ki haibat bhi hai
Har ada inki Imran ka aqs hai
Inki baahoṅ meiṅ Jafar ki taaqat bhi hai
Pyaar hai Mustafa ka Husain o Hasan
aur Hasnain ka pyaar Abbas hai
2
Naql-e-azmat ka shiriṅ samar haiṅ yehiṅ
Ismatoṅ ke sadaf ke gohar haiṅ yehiṅ
Nur ki sidrat-ul-muntaha haiṅ yehiṅ
Hashimi aasmaṅ ke qamar haiṅ yehiṅ
Jinke saaye me akber bhi palte rahe
Husn ka aisa minaar Abbas hai
3
Hal ata innama ki jo misdaaq hai
Vo bhi ghazi ke aane ki mushtaq hai
Arsh se farsh tak inki jagir hai
Sari makhloq inki gadagir hai
Jo ali ki shujaat ka waris bhi hai
Aisa aala zamindar Abbas hai
4
Mashk meiṅ kiuṅ na darya utha laae wo
Faatima ne jise apna beta kaha
Baab-e-Khaibar tha kul haath pe aap ke
ya nigaahoṅ meiṅ lashkar tha nau laakh ka
Ya Ali hai agar Zulfiqaar aap ki
Faatima ki to talwaar Abbas hai
5
Sahib-e-takht-e-aqli ki ghairat hai ye
Aur charaghe harim-e-sharafat hai ye
durr-e-shehwaar Behr-e-saqawat hai ye
Haq to ye hai ke haq ki haqiqat hai
Wo duaaeṅ jo Bibi ne sajdoṅ meiṅ kiṅ
un duaoṅ ka meyaar Abbas hai
6
Qabr kya hai andhera sa ghar hai jahaṅ
Marefat ke siva koi sapna nahiṅ
Vo bohat hi andheri jagah hai wahaṅ
Koi yawar nahi koi apna nahiṅ
Tumse milne lahad meiṅ ali aayeṅge
Bolo tanhai me aur kya chahiye