Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

کیا نبی کی آل پر آئی مصیبت کی گھڑی

Chhor Kar Baali

Add to set
Show

کیا نبی کی آل پر آئی مصیبت کی گھڑی

کیا نبی کی آل پر آئی مصیبت کی گھڑی تھا قیامت کا سماں اور بی‌بیوں میں کھلبلی وقت رخصت باپ کے سینے پہ رکھ کر اپنا سر دختر شبیر رو رو کر یہ فرمانے لگی چھوڑ کر بالی سکینہ کو ابھی جانا نہیں جو بھی مقتل میں گیا وہ لوٹ کر آیا نہیں
۱ دیر کتنی ہو گئی عون و محمد کو گئے دو گھڑی میں ماں کے ارمانوں کے لاشے آ گئے شکر کے سجدے سے اب زینب کا سر اٹھتا نہیں
۲ نوجوانی لاش قاسم پر سسکتی رہ گئی ام فروہ راستہ بیٹے کا کرتی رہ گئی آئے ٹکڑے لاش کے قاسم مگر آیا نہیں
۳ کہہ دو سقہ سے کہ اب پانی نہ مجھ کو چاہیے علقمہ کو چھوڑ کر اب جلد گھر آ جائیے وہ مکان زنداں ہے جس میں میرا سقہ نہیں
۴ بی‌بیوں میں ہے ابھی کہرام برپا دیکھیے دیر سے بےہوش ہے ماں ام لیلیٰ دیکھیے بابا جاں اب تک علی اکبر بھی گھر لوٹا نہیں
۵ لے گئے تھے آپ اصغر کو سر میداں کیوں کیا ہوا بانو کا قرآن خالی ہے جزدان کیوں اب کہیں بھیا علی اصغر نظر آتا نہیں
۶ کاش میں ہی قتل ہو جاتی بجائے آپ کے کون اب میرا سہارا ہے سوال آپ کے چھوٹے سارے اقرباء انصار بھی زندہ نہیں
۷ بن تمہارے بابا جان گھٹ گھٹ کے مر جاؤں میں کس کے سینے پر بھلا راتوں کو سوؤں میں چھوڑ کر بیٹی کو جانا آپ کا اچھا نہیں
۸ کربلا کے دم میں خوں روتے رہے محسن مجیب بین یہ کرتی جب دختر شاہ غریب ناتواں بھائی ابھی بستر ہے اٹھا نہیں

Chhor Kar Baali

Kya Nabi ki aal par aayi musibat ki ghari Tha qayaamat ka samaaṅ aur Bibiyoṅ meiṅ khalbali Waqt-e-rukhsat baap ke sine pe rakh kar apna sar Dukhtar-e-Shabbir ro ro kar ye farmaane lagi Chhor kar baali Sakina ko abhi jaana nahiṅ Jo bhi maqtal meiṅ gaya wo laut kar aaya nahiṅ
1 Der kitni ho gayi Aun o Muhammad ko gaye Do ghari meiṅ maaṅ ke armaanoṅ ke laashe aa gaye Shukr ke sajde se ab Zainab ka sar uthta nahiṅ
2 Naujawaani laash-e-Qaasim par sisakti reh gayi Umm-e-Farwa raasta bete ka karti reh gayi Aaye tukre laash ke Qaasim magar aaya nahiṅ
3 Keh do saqqa se ke ab paani na mujh ko chaahiye Alqama ko chhor kar ab jald ghar aa jaaiye Wo makaan zindaaṅ hai jis meiṅ mera saqqa nahiṅ
4 Bibiyoṅ meiṅ hai abhi kohraam barpa dekhiye Der se behosh hai maaṅ Umm-e-Laila dekhiye Baaba jaaṅ ab tak Ali Akbar bhi ghar lauta nahiṅ
5 Le gaye the aap Asghar ko sar-e-maidaaṅ kiuṅ Kya hua Baano ka Quraan khaali hai juzdaan kiuṅ Ab kahiṅ bhaiya Ali Asghar nazar aata nahiṅ
6 Kaash maiṅ hi qatl ho jaati bajaaye aap ke Kaun ab mera sahaara hai sawaal aap ke Chhute saare aqraba ansaar bhi zinda nahiṅ
7 Bin tumhaare Baaba jaan ghut ghut ke mar jaauṅ maiṅ Kis ke sine par bhala raatoṅ ko souṅ maiṅ Chhor kar beti ko jaana aap ka achchha nahiṅ
8 Karbala ke dam meiṅ khuṅ rote rahe Mohsin Mujib Bain ye karti jab dukhtar-e-Shaah-e-gharib Naatavaaṅ bhaai abhi bistar hai utha nahiṅ