چہلم منانے بھائی زینب تمہاری آئی
Chehlum Manaane Bhai
Show
چہلم منانے بھائی زینب تمہاری آئی
چہلم منانے بھائی زینب تمہاری آئی
پھر ظلم کے شہر میں دیتی ہوئی دہائی
۱
بھائی وہ میرا اکبر تسکین جان مادر
جنگل میں سو رہی ہے برچی جگر پہ کھا کر
تصویر مصطفیٰ کی امت نے ہے مٹائی
۲
عباس اٹھ کے دیکھو بازو پہ کیا نشاں ہے
دیتی رہی صدائیں بھائی میرا کہاں ہے
رسی سے جب ستمگر باندھے میری کلائی
۳
اب عون نہ محمد کیسی یہ بے بسی ہے
کوئی نہیں ہے میرا اب کیا یہ زندگی ہے
سب یاد آ رہے ہیں ویرانی سی ہے چھائی
۴
سب قتل ہو گئے جب عابد پہ ظلم ڈھائے
سر سے ردائیں چھینیں خیمے سبھی جلائے
جب ظلم کے شہر میں شام غریباں آئی
۵
بھائی میں شام کے بھی بازار میں پھری ہوں
بھائی میں سر برہنہ دربار میں گئی ہوں
احمد کی میں نواسی میں دربدر پھرائی
Chehlum Manaane Bhai
Chehlum manaane bhai Zainab tumhaari aayi
Phir zulm ke shehr meiṅ deti hui duhaayi
1
Bhai wo mera Akbar taskin-e-jaan-e-maadar
Jangal meiṅ so raha hai barchhi jigar pe kha kar
Tasvir Mustafa ki ummat ne hai mitaayi
2
Abbaas uth ke dekho baazu pe kya nishaaṅ hai
Deti rahi sadaaeṅ bhai mera kahaaṅ hai
Rassi se jab sitamgar baandhe meri kalaayi
3
Ab Aun na Muhammad kaisi ye bebasi hai
Koi nahiṅ hai mera ab kya ye zindagi hai
Sab yaad aa rahe haiṅ viraani si hai chhaayi
4
Sab qatl ho gaye jab Aabid pe zulm dhaaye
Sar se ridaaeṅ chhiniṅ khaime sabhi jalaaye
Jab zulm ke shehr meiṅ shaam-e-gharibaaṅ aayi
5
Bhai maiṅ Shaam ke bhi baazaar meiṅ phiri huṅ
Bhai maiṅ sar barehna darbaar meiṅ gayi huṅ
Ahmed ki maiṅ nawaasi maiṅ dar badar phiraayi