بنیادِ لاالٰہ وجودِ اذانِ حُسین
Bunyaad-e-La Ilaaha
Show
بنیادِ لاالٰہ وجودِ اذانِ حُسین
بنیادِ لاالٰہ وجودِ اذانِ حُسین
قد قامت الصلٰوۃ کے روحِ روانِ حُسین
۱
میرے رسولِ پاک ہیں قرآن کی طرح
شیرِ خُدا کی ذات ہے جُزدان کی طرح
اور سیدہ ہیں سورۂ رحمن کی طرح
صُلحِ حسن ہے امن کے میدان کی طرح
روحِ کلامِ پاک کے ہیں درمیاں حُسین
۲
مولا علی جہاں بھی ہیں حق ساتھ ساتھ ہے
قرآن کی بندشوں میں ورق ساتھ ساتھ ہے
اور آسمان پہ جیسے شفق ساتھ ساتھ ہے
کلمہ ہے اور دین کا سبق ساتھ ساتھ ہے
اسلام جس جگہ ہے سمجھ لو وہاں حُسین
۳
بدنام و بے نشان لشکر یزید کا
دوزخ کی آگ بن گئی بستر یزید کا
رُسوائی بن گئی ہے مقدر یزید کا
کوئی محل ہے گھر نہ کوئی در یزید کا
جنت سے بڑھ گیا ہے تیرا آستاں حُسین
۴
مشکل کے وقت آتا ہے خیبر شکن کا نام
ڈھارس ہے میرے قلب کی شاہِ زمن کا نام
جیسے اذان میں اکبرِ گُل پیرہن کا نام
محشر کے دل پہ نقش ہے یوں پنجتن کا نام
یہ دل بنا ہوا ہے تیرا گُلستاں حُسین
Bunyaad-e-La Ilaaha
Bunyaad-e-la ilaaha wujud-e-azaan-e-Husain
Qad qaamatis salaat ke ruh-e-rawaan-e-Husain
1
Mere Rasul-e-Paak haiṅ Quraan ki tarah
Sher-e-Khuda ki zaat hai juzdaan ki tarah
Aur Sayyeda haiṅ Sura-e-Rehmaan ki tarah
Sulh-e-Hasan hai amn ke maidaan ki tarah
Ruh-e-Kalaam-e-Paak ke haiṅ darmiyaaṅ Husain
2
Maula Ali jahaaṅ bhi haiṅ haq saath saath hai
Quraan ki bandishoṅ meiṅ waraq saath saath hai
Aur aasmaan pe jaise shafaq saath saath hai
Kalma hai aur din ka sabaq saath saath hai
Islaam jis jagah hai samajh lo wahaaṅ Husain
3
Badnaam o benishaan lashkar Yazid ka
Dozakh ki aag ban gayi bistar Yazid ka
Ruswaayi ban gayi hai muqaddar Yazid ka
Koi mehal hai ghar na koi dar Yazid ka
Jannat se barh gaya hai tera aastaaṅ Husain
4
Mushkil ke waqt aata hai Khaibar shikan ka naam
Dhaaras hai mere qalb ki Shaah-e-Zaman ka naam
Jaise azaan meiṅ Akbar-e-Gul Pairahan ka naam
Mehshar ke dil pe naqsh hai yuṅ Panjetan ka naam
Ye dil bana hua hai tera gulistaaṅ Husain