سو گیا لشکر اے شامِ غریباں
Bibiyan Rehgayi
Show
سو گیا لشکر اے شامِ غریباں
سو گیا لشکر اے شامِ غریباں
بیبیاں رہ گئیں
جلتے ہوئے خیموں کی بجھتی راکھ پر
بیبیاں رہ گئیں
دل سے لگائے داغ بہتر نوحہ گر
بیبیاں رہ گئیں
۱
شامِ غریباں سے کچھ پہلے
جھولا چادر بستر تھا
پہلو میں ہمشکلِ پیمبر
گود میں ماں کی اصغر تھا
گودیاں خالی مانگیں اُجڑیں بے پسر
بیبیاں رہ گئیں
۲
ہے یہ ابوطالب کا کنبہ
بیٹیاں ساری حیدر کی
عظمتِ زہرا عظمتِ مریم
عزت تھی پیغمبر کی
چادریں مانگتیں نامِ پیمبر در بدر
بیبیاں رہ گئیں
۳
ڈھلتا سورج سوچ رہا ہے
وقتِ سحر کیا منظر تھا
محوِ عبادت زیرِ علم
شبیر کا سارا لشکر تھا
سو گیا لشکر جاگنے والی رات بھر
بیبیاں رہ گئیں
۴
دریا موجیں مار رہا ہے
پیاس ابھی تک باقی ہے
شاید غازی لوٹ کے آئے
آس ابھی تک باقی ہے
دیکھ ذرا زینب کے برادر جاگ کر
بیبیاں رہ گئیں
۵
کوئی نہیں جو پوچھ لے آ کر
کیا ہوئی زینب تیری چادر
تیرے تو تھے اٹھارہ برادر
کیوں ہے اکیلی پہرے پر
ہمسفر مقتول ہوئے سب ہمسفر
بیبیاں رہ گئیں
۶
سوچوں ذرا ریحان اور سرور
شامِ غریباں کا وہ منظر
چاک گریباں آئے جو حیدر
دیکھ کے زینب کو پہرے پر
رو دیئے حیدر خیمے مقتل دیکھ کر
بیبیاں رہ گئیں
Bibiyan Rehgayi
So gaya lashkar Ae Shaam-e-Gharibaṅ
Bibiyaṅ reh gayiṅ
Jalte hue khaimoṅ ki bujhti raakh par
Bibiyaṅ reh gayiṅ
Dil se lagaaye daagh bahattar nauhagar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
1
Shaam-e-Gharibaṅ se kuchh pehle
Jhula chaadar bistar tha
Pehlu meiṅ hamshakl-e-Payambar
God meiṅ maaṅ ki Asghar tha
Godiyaṅ khaali maangeṅ ujriṅ bepisar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
2
Haan ye Abu Talib ka kunba
Betiyaṅ saari Haidar ki
Azmat-e-Zahra azmat-e-Maryam
Izzat thi Payghambar ki
Chaadareṅ maangtiṅ naam-e-Payambar dar badar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
3
Dhalta suraj soch raha hai
Waqt-e-sahar kya manzar tha
Mahv-e-ibaadat zer-e-alam
Shabbir ka saara lashkar tha
So gaya lashkar jaagne waali raat bhar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
4
Darya maujeṅ maar raha hai
Pyaas abhi tak baaqi hai
Shaayad Ghaazi laut ke aaye
Aas abhi tak baaqi hai
Dekh zara Zainab ke baraadar jaag kar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
5
Koi nahiṅ jo puchh le aa kar
Kya hui Zainab teri chaadar
Tere to the athaarah baraadar
Kiuṅ hai akeli pehre par
Hamsafar maqtul hue sab hamsafar
Bibiyaṅ reh gayiṅ
6
Sochoṅ zara Rehaan aur Sarwar
Shaam-e-Gharibaṅ ka wo manzar
Chaak garebaṅ aaye jo Haidar
Dekh ke Zainab ko pehre par
Ro diye Haidar khaime maqtal dekh kar
Bibiyaṅ reh gayiṅ