پوچھ رہی ہے کربوبلا کے رستوں سے بیمار
Bhaiya Kiuṅ Nahiṅ
Show
پوچھ رہی ہے کربوبلا کے رستوں سے بیمار
پوچھ رہی ہے کربوبلا کے رستوں سے بیمار
بھیا کیوں نہیں آئے
۱
خون رلاتے ہیں مجھ کو یثرب کے در و دیوار
بھیا کیوں نہیں آئے
۲
آنکھوں سے اوجھل نہیں ہوتا چہرہ اکبر کا
ڈھونڈتی رہتی ہوں خوابوں میں سہرا اکبر کا
ٹوٹ کے روز بکھر جاتے ہیں آنسوؤں کے ہار
۳
جب سے فلک پر چاند نظر آیا ہے محرم کا
لگتا ہے مجھ کو عرش بھی جیسے فرش ہو ماتم کا
چاند کے پیچھے جیسے چھپی ہو برچھی اور تلوار
۴
ہے یہ دعا اے مالک میرا بابل خیر سے ہو
غیر نہ لے سہرائی درندے دلدل خیر سے ہو
اچھے نہیں حالات بھی شاید کوفے کے اس پار
۵
کیا ہوئی آخر مجھ سے خطا معلوم تو ہو مجھ کو
پائی ہے کیوں فرقت کی سزا معلوم تو ہو مجھ کو
روٹھ گیا مجبور بہن سے کیوں بیرن کا پیار
۶
خط بھیجا اور قاصد سے سندیس بھی کہہ لایا
پھر بھی مجھ برہن کا کسی کو دھیان نہیں آیا
بھول گیا پردیس میں جا کر مجھ کو میرا پریوار
۷
ہار گئی میں قسمت کی تحریریں جیت گئیں
راستہ تکتے تکتے دو دو عیدیں بیت گئیں
ہو نہ سکا ہمشکلِ نبی کے چہرے کا دیدار
۸
کیسے بتاؤں کتنا کٹھن ہے ہجر کا غم بھیا
چومتی رہتی ہوں میں تیرے نقشِ قدم بھیا
ڈر ہے مٹ جائے نہ کہیں ان قدموں کے آثار
۹
میرے مالک پردیسی کنبے کی خیر
بہنوں کے ماؤں کے پھپھیوں کے پردے کی خیر
خواب میں میں نے دیکھے ہیں کچھ پتھر اور بازار
۱۰
دیکھ رہی ہوں نیزہ نیزہ چادر چادر خوں
بستی بستی سہرا سہرا پتھر پتھر خوں
شیشے میں جو خاک تھی وہ بھی ہو گئی خون کی دھار
۱۱
جیسے کسی برچھی کی چبھن محسوس ہو سینے میں
رونے لگتی ہے ایک بیبی اب بھی مدینے میں
سنتے ہی عامر کی زباں سے نیر کے اشعار
Bhaiya Kiuṅ Nahiṅ
Puchh rahi hai Karbobala ke rastoṅ se bemaar
Bhaiya kiuṅ nahiṅ aaye
1
Khun rulaate haiṅ mujh ko Yasrab ke dar o diwaar
Bhaiya kiuṅ nahiṅ aaye
2
Aankhoṅ se ojhal nahiṅ hota chehra Akbar ka
Dhundti rehti huṅ khwaaboṅ meiṅ sehra Akbar ka
Tut ke roz bikhar jaate haiṅ aansuoṅ ke haar
3
Jab se falak par chaand nazar aaya hai Muharram ka
Lagta hai mujh ko arsh bhi jaise farsh ho maatam ka
Chaand ke pichhe jaise chhipi ho barchhi aur talwaar
4
Hai ye dua ae maalik mera baabul khair se ho
Ghayr na le sehraayi darinde Duldul khair se ho
Achchhe nahiṅ haalaat bhi shaayad Kufe ke us paar
5
Kya hui aakhir mujh se khata maalum to ho mujh ko
Paayi hai kiuṅ furqat ki saza maalum to ho mujh ko
Ruth gaya majbur behan se kiuṅ biran ka pyaar
6
Khat bheja aur qaasid se sandes bhi keh laaya
Phir bhi mujh birhan ka kisi ko dhyaan nahiṅ aaya
Bhul gaya pardes meiṅ jaa kar mujh ko mera pariwaar
7
Haar gayi maiṅ qismat ki tahrireṅ jit gayiṅ
Raasta takte takte do do ideṅ bit gayiṅ
Ho na saka hamshakl-e-Nabi ke chehre ka didaar
8
Kaise bataauṅ kitna kathin hai hijr ka gham bhaiya
Chumti rehti huṅ maiṅ tere naqsh-e-qadam bhaiya
Dar hai mit jaaye na kahiṅ in qadmoṅ ke aasaar
9
Mere maalik mere pardesi kunbe ki khair
Behnoṅ ke maaoṅ ke phuphiyoṅ ke parde ki khair
Khwaab meiṅ maiṅ ne dekhe haiṅ kuchh patthar aur baazaar
10
Dekh rahi huṅ neza neza chaadar chaadar khuṅ
Basti basti sehra sehra patthar patthar khuṅ
Shishe meiṅ jo khaak thi wo bhi ho gayi khun ki dhaar
11
Jaise kisi barchhi ki chubhan mahsus ho sine meiṅ
Rone lagti hai ek Bibi ab bhi Madine meiṅ
Sunte hi Aamir ki zabaaṅ se Nayyar ke ashaar