اے شامِ غریباں
Behti Rahi Furaat
Show
اے شامِ غریباں
اے شامِ غریباں
بہتی رہی فُرات
خون ہو کر بہہ گیا اکبر کا دل
مسکرا کر ختم اصغر ہوگئے
۱
کربلا کے دشت میں کیسا اندھیرا چھا گیا
آگئی شامِ غریباں سرخ ہے خاکِ شفا
جل گئے خیمے سرِ شامِ الم
کتنے منظر خاک ہو کر رہ گئے
بہتی رہی فُرات
۲
ڈھل گیا دن شام آئی شام بھی ایسی کے بس
دوپہر کے بعد چھائی ایسی تنہائی کے بس
کس طرح زہرا کا گھر لُوٹا گیا
کس طرح بے سر بہتّر ہوگئے
۳
آج صبحِ دم یہ گھر روشن بھی تھا آباد بھی
سب کے وارث تھے سلامت بھائی بھی اولاد بھی
اک ہوا ایسی چلی پردیس میں
بے زباں بچے بھی بے سر ہوگئے
۴
یہ ہے وہ شامِ غریباں جو قیامت بن گئی
دُخترِ زہرا کے سر سے جس نے چادر چھین لی
یا رسول اللہ قیامت ہوگئی
داخلِ خیمہ ستمگر ہو گئے
۵
ایک اک قطرے کو ترسے بن میں اطفالِ حسین
مشک زخمی خالی کوزے لاش پامالِ حسین
رہ گیا میدان میں بے کس کا تن
جشن میں مصروف لشکر ہوگئے
۶
مرتے دم پانی پسر مانگے پدر مجبور ہے
تُو بتا شامِ غریباں القمہ کیا دُور ہے
وائے نہرِ القمہ بہتی رہی
اور پیاسے قتل اکبر ہوگئے
۷
ہے وہی منظر وہی خیمے وہی تشنہ لبی
آئی ہے شامِ غریباں خوں رُلانے آج بھی
غم ہمیں ریحان و سرور کیوں نہ ہو
محوِ ماتم جب پیمبر ہوگئے
Behti Rahi Furaat
Ae shaam-e-gharibaaṅ
Behti rahi Furaat
Khun ho kar beh gaya Akbar ka dil
Muskura kar khatm Asghar ho gaye
1
Karbala ke dasht meiṅ kaisa andhera chha gaya
Aa gayi shaam-e-gharibaaṅ surkh hai khaak-e-shifa
Jal gaye khaime sar-e-shaam-e-alam
Kitne manzar khaak ho kar reh gaye
Behti rahi Furaat
2
Dhal gaya din shaam aayi shaam bhi aisi ke bas
Dopahar ke baad chhaayi aisi tanhaai ke bas
Kis tarah Zehra ka ghar luta gaya
Kis tarah besar bahattar ho gaye
3
Aaj subh-e-dam ye ghar roshan bhi tha aabaad bhi
Sab ke waaris the salaamat bhai bhi aulaad bhi
Ek hawa aisi chali pardes meiṅ
Bezubaaṅ bachche bhi besar ho gaye
4
Ye hai wo shaam-e-gharibaaṅ jo qayaamat ban gayi
Dukhtar-e-Zehra ke sar se jis ne chaadar chhin li
Ya Rasul Allah qayaamat ho gayi
Daakhil-e-khaima sitamgar ho gaye
5
Ek ek qatre ko tarse ban meiṅ atfaal-e-Husain
Mashk zakhmi khaali kuze laash paamaal-e-Husain
Reh gaya maidaan meiṅ bekas ka tan
Jashn meiṅ masruf lashkar ho gaye
6
Marte dam paani pisar maange padar majbur hai
Tu bata shaam-e-gharibaaṅ Alqama kya dur hai
Waaye nahr-e-Alqama behti rahi
Aur pyaase qatl Akbar ho gaye
7
Hai wohi manzar wohi khaime wohi tishna labi
Aayi hai shaam-e-gharibaaṅ khuṅ rulaane aaj bhi
Gham hameṅ Rehaan o Sarwar kiuṅ na ho
Mahw-e-maatam jab Payambar ho gaye