بہر خوشنودیٔ زہرا ہو ثنائے عباس
Behar-e-Khushnudi-e-Zahra Ho Sana-e-Abbas
Show
بہر خوشنودیٔ زہرا ہو ثنائے عباس
۱
بہر خوشنودیٔ زہرا ہو ثنائے عباس
سرو طوبیٰ سے بھی اعلیٰ ہے لوائے عباس
بس علم خلق ہوا ہے تو برائے عباس
کون سرتاج وفا کا ہے سوائے عباس
جب تک اس شیر کا اک نقش قدم باقی ہے
یوں سمجھیے کہ وفاؤں کا بھرم باقی ہے
۲
نزد گہوارۂ عباس جو شبیر گئے
دیکھ کر چہرۂ مولود ثنا کرنے لگے
اور جبیں دیکھ کے عباس کی پھر یوں بولے
کہہ دو یہ جا کے عبادت سے کہ وہ آہ بھرے
اتباع اور اطاعت کا نظام آیا ہے
مذہب ضبط و شجاعت کا امام آیا ہے
۳
دیکھا حیدر نے جو شبیر کا عباس سے پیار
مسکرا کر کہا بیٹے سے پدر تم پہ نثار
چھوٹے بھائی کا کوئی نام بھی رکھا زینہار
کی حسین ابن علی نے یہ علی سے گفتار
عوض توحید کا عکس کہیں گے ان کو
بابا ہم آج سے عباس کہیں گے ان کو
۴
کوئی عباس کے کردار کی کیا دے گا مثال
ان کی آنکھوں میں ہے قرآن محبت کا جمال
ہے خیال ان کا وہی جو ہے امامت کا خیال
ان کے کردار کی رفعت میں نہیں کوئی سوال
ایسی رفعت کہ جہاں سرحد عصمت مل جائے
دو قدم آگے بڑھے اور امامت مل جائے
۵
یہ مودت کے گلستاں کی بے مثال بہار
وہ چچا ہے جو بھتیجی کی اداؤں پہ نثار
آس بچوں کی بھی اور اہل حرم کا ہیں حصار
آج بھی فوج حسینی کے ہیں پرچم بردار
یہ علم چوم کے جنت کی ہوا پاؤ گے
اس میں تم دور سے خوشبوئے وفا پاؤ گے
۶
سوچ کر ہاتھ لگانا یہ ہے غازی کا علم
قلب کو پاک بنانا یہ ہے غازی کا علم
ذہن کا رجس ہٹانا یہ ہے غازی کا علم
تب کہیں اس کو اٹھانا یہ ہے غازی کا علم
ورنہ کفر سے جب جنگ میں ٹکراؤ گے
تم بھی میدان میں علم پھینک کے بھاگ آؤ گے
Behar-e-Khushnudi-e-Zahra Ho Sana-e-Abbas
1
Behar-e-Khushnudi-e-Zahra ho sana-e-Abbas
Sarw-e-Tuba se bhi aala hai liwa-e-Abbas
Bas alam khalq hua hai to bara-e-Abbas
Kaun sartaaj-e-wafa ka hai siwa-e-Abbas
Jab tak is sher ka ik naqsh-e-qadam baaqi hai
Yuṅ samajhiye ke wafaoṅ ka bharam baaqi hai
2
Nazd-e-gahwara-e-Abbas jo Shabbir gaye
Dekh kar chehra-e-maulud sana karne lage
Aur jabiṅ dekh ke Abbas ki phir yuṅ bole
Keh do ye ja ke ibaadat se ke wo aah bhare
Ittibaa aur itaaat ka nizaam aaya hai
Mazhab-e-zabt o shujaaat ka imaam aaya hai
3
Dekha Haidar ne jo Shabbir ka Abbas se pyaar
Muskura kar kaha bete se pidar tum pe nisaar
Chhote bhai ka koi naam bhi rakha Zinihar
Ki Husain Ibn-e-Ali ne ye Ali se guftaar
Ewaz-e-tauhid ka aks kaheṅ ge in ko
Baaba ham aaj se Abbas kaheṅ ge in ko
4
Koi Abbas ke kirdaar ki kya de ga misaal
In ki aankhoṅ meiṅ hai Quraan-e-muhabbat ka jamaal
Hai khayaal in ka wohi jo hai imaamat ka khayaal
In ke kirdaar ki rifaat meiṅ nahiṅ koi sawaal
Aisi rifaat ke jahaaṅ sarhad-e-ismat mil jaaye
Do qadam aage barhe aur imaamat mil jaaye
5
Ye mawaddat ke gulistaaṅ ki bemisaal bahaar
Wo chacha hai jo bhatiji ki adaaoṅ pe nisaar
Aas bachchoṅ ki bhi aur ahl-e-haram ka haiṅ hisaar
Aaj bhi fauj-e-Husaini ke haiṅ parcham bardaar
Ye alam chum ke jannat ki hawa paao ge
Is meiṅ tum dur se khushbu-e-wafa paao ge
6
Soch kar haath lagaana ye hai Ghaazi ka alam
Qalb ko paak banaana ye hai Ghaazi ka alam
Zehn ka rijs hataana ye hai Ghaazi ka alam
Tab kahiṅ is ko uthaana ye hai Ghaazi ka alam
Warna kufr se jab jang meiṅ takraao ge
Tum bhi maidaan meiṅ alam pheṅk ke bhaag aao ge