بازارِ شام آ گیا
Bazaar-e-Shaam Aa Gaya
Show
بازارِ شام آ گیا
بازارِ شام آ گیا
اکبرؑ میرے جواں کس کو بلائے ماں
۱
زینب کی لو خبر عابدؑ ہیں ناتواں
۲
دشتِ بلا کو چھوڑ کر خاکِ شفا کو اوڑھ کر
اے فخرِ کبریا سنو کہتی ہے ہاتھ جوڑ کر
کیسے چلے گی ماں اے میرے نوجواں
۳
قسمت کی پاسباں ہے وہ خیرالنساء کی جاں ہے وہ
غربت کی انتہا ہوئی غیروں کے درمیاں ہے وہ
شہزادیِ جناں سہتی ہیں سختیاں
۴
قاتل تیرا میرے پسر سجاد کا ہے ہمسفر
کم تو نہیں ہے یہ ستم سہتا رہا ہے وہ مگر
کیسے سہے بھلا بیمار سارباں
۵
میں نے سنی ہے یہ صدا کہتے ہیں شام میں سبھی
بدلہ علی کا لیں گے ہم بنتِ علیؑ سے آج ہی
پتھر سے ہے بھری لوگوں کی جھولیاں
۶
نامحرموں کی بھیڑ میں اٹھتی نہیں نظر میری
عباسؑ کی قسم نہیں تشنہ لبی کا غم کوئی
دکھ ہے یہ میری جاں سہمی ہیں بیبیاں
۷
پالا ہے جس نے عمر بھر اکبرؑ تجھے حجاب میں
غازیؑ کے سامنے بھی وہ بیٹا رہی نقاب میں
غیروں میں بے ردا آتی ہے الاماں
۸
نوکِ سناں کو دیکھ کر یاور یہ کہہ رہی تھی ماں
آ دیکھ تو بھی نوجواں مادر کا اپنی امتحاں
آنکھیں نہ بند کر غیرت کے آسماں
Bazaar-e-Shaam Aa Gaya
Bazaar-e-Shaam aa gaya
Akbar mere jawaaṅ kis ko bulaaye maaṅ
1
Zainab ki lo khabar Aabid haiṅ naatawaaṅ
2
Dasht-e-bala ko chhor kar khaak-e-shifa ko orh kar
Ae fakhr-e-kibriya suno kehti hai haath jor kar
Kaise chale gi maaṅ ae mere naujawaaṅ
3
Qismat ki paasbaaṅ hai wo Khair-un-Nisa ki jaaṅ hai wo
Ghurbat ki intiha hui ghairoṅ ke darmiyaaṅ hai wo
Shahzaadi-e-jinaaṅ sehti haiṅ sakhtiyaaṅ
4
Qaatil tera mere pisar Sajjad ka hai hamsafar
Kam to nahiṅ hai ye sitam sehta raha hai wo magar
Kaise sahe bhala bimaar saarabaaṅ
5
Maiṅ ne suni hai ye sada kehte haiṅ Shaam meiṅ sabhi
Badla Ali ka leiṅ ge ham bint-e-Ali se aaj hi
Patthar se hai bhari logoṅ ki jholiyaaṅ
6
Naamahramoṅ ki bhir meiṅ uthti nahiṅ nazar meri
Abbas ki qasam nahiṅ tashna labi ka gham koi
Dukh hai ye meri jaaṅ sehmi haiṅ bibiyaaṅ
7
Paala hai jis ne umr bhar Akbar tujhe hijaab meiṅ
Ghaazi ke saamne bhi wo beta rahi naqaab meiṅ
Ghairoṅ meiṅ berida aati hai alamaaṅ
8
Nok-e-sinaaṅ ko dekh kar Yawar ye keh rahi thi maaṅ
Aa dekh tu bhi naujawaaṅ maadar ka apni imtihaaṅ
Aankheiṅ na band kar ghairat ke aasmaaṅ