کسی کا رن میں مقدر بگڑ گیا جاگو
Baraaye Qabrastaan
Show
کسی کا رن میں مقدر بگڑ گیا جاگو
کسی کا رن میں مقدر بگڑ گیا جاگو
نبی کی بیٹی کا گھر بار اجڑ گیا جاگو
اجل کی نیند سے تم کو جگانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۱
تمہیں نے بخشی ہے ہم سب کو یہ وفاداری
تمہیں سے پائی ہے ہم نے یہ تازیہ داری
سنانی کرب و بلا کی سنانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۲
اے سوگوارِ شہیدوں سلام ہو تم پر
مزارِ شہرِ خموشاں سلام ہو تم پر
تمہاری قبروں کو جنت بنانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۳
سنو حسین پہ کرب و بلا میں کیا گزری
جوان لال کے سینے میں گڑ گئی برچھی
تمہارے ساتھ ہم آنسو بہانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۴
بہت حسین پہ آنسو بہائے ہے تم نے
مصائبِ دلِ زہرا سنائے ہیں تم نے
سنانی آج مگر ہم سنانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۵
وہ جس کا ہو گیا برباد گھر کا گھر سارا
جسے لعینوں نے جنگل میں گھیر کر مارا
اسی کی فرشِ عزا ہم بچھانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۶
وہ جس کے ہاتھوں پہ ششماہ مر گیا ہائے ہائے
گلے کو چیر کے ناوک گزر گیا ہائے ہائے
اسی صغیر کا نوحہ سنانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۷
ایک اور آگ عطش نے لگائی دریا پر
شہید ہو گیا سرور کا بھائی دریا پر
اسی دلیر کا پرچم اٹھانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۸
تمہاری روحوں کو اللہ شادماں رکھے
ہر ایک قبر میں جنت کا گلستاں رکھے
لحد پہ اشکوں سے شمع جلانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۹
کہیں بھی دنیا میں ہوں گے ضرور آئیں گے
تمہاری قبروں پہ فرشِ عزا بچھائیں گے
جو دل کا حال ہے تم کو بتانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
۱۰
یہاں پہ فاتحہ عامر بھی آ کے پڑھتا ہے
ثواب نوحے کا عینی نے تم کو بخشا ہے
لحد پہ پھول عزا کے چڑھانے آئے ہیں
اٹھو اٹھو کہ غمِ شاہ منانے آئے ہیں
Baraaye Qabrastaan
Kisi ka ran meiṅ muqaddar bigar gaya jaago
Nabi ki beti ka ghar baar ujar gaya jaago
Ajal ki nind se tum ko jagaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
1
Tumhiṅ ne bakhshi hai hum sab ko ye wafaadaari
Tumhiṅ se paayi hai hum ne ye taaziya daari
Sunaani Karb o Bala ki sunaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
2
Ae sogwaar-e-shahidoṅ salaam ho tum par
Mazaar-e-shahr-e-khamoshaaṅ salaam ho tum par
Tumhaari qabroṅ ko jannat banaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
3
Suno Husain pe Karb o Bala meiṅ kya guzri
Jawaan laal ke sine meiṅ gar gayi barchhi
Tumhaare saath hum aansu bahaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
4
Bahut Husain pe aansu bahaaye hai tum ne
Masaaib-e-dil-e-Zehra sunaaye haiṅ tum ne
Sunaani aaj magar hum sunaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
5
Wo jis ka ho gaya barbaad ghar ka ghar saara
Jise lainoṅ ne jangal meiṅ gher kar maara
Usi ki farsh-e-aza hum bichhaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
6
Wo jis ke haathoṅ pe shashmaah mar gaya haaye haaye
Gale ko chir ke naawak guzar gaya haaye haaye
Usi saghir ka nauha sunaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
7
Ek aur aag atash ne lagaayi darya par
Shahid ho gaya Sarwar ka bhaai darya par
Usi diler ka parcham uthaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
8
Tumhaari ruhoṅ ko Allah shaadmaaṅ rakhe
Har ek qabr meiṅ jannat ka gulsitaaṅ rakhe
Lahad pe ashkoṅ se shama jalaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
9
Kahiṅ bhi dunya meiṅ hoṅge zarur aayeṅge
Tumhaari qabroṅ pe farsh-e-aza bichhaayeṅge
Jo dil ka haal hai tum ko bataane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ
10
Yahaaṅ pe faateha Aamir bhi aa ke parhta hai
Sawaab nauhe ka Aini ne tum ko bakhsha hai
Lahad pe phul aza ke charhaane aaye haiṅ
Utho utho ke gham-e-Shaah manaane aaye haiṅ