Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

بندگی کی لاج جو رکھ لے وہ بندہ اور ہے

Bandagi Ki Laaj Jo Rakh Le

Add to set
Show

بندگی کی لاج جو رکھ لے وہ بندہ اور ہے

بندگی کی لاج جو رکھ لے وہ بندہ اور ہے جو تہِ خنجر کیا جائے وہ سجدہ اور ہے
۱ خون کی عظمت اور ماتھے کا پسینہ اور ہے انبیا سے کیا تقابل میرا مولا اور ہے
۲ اس لیے چن کر ستارہ عرش سے بھیجا گیا کیونکہ زہرہ کا درِ زہرا سے رشتہ اور ہے
۳ غرق کر کے بدعتوں کو میرے آنسو ہر برس مفتیوں سے پوچھتے ہیں کوئی فتویٰ اور ہے
۴ شیر نے یہ علقمہ کے پہرے داروں سے کہا اس پہ قبضہ ہو چکا کیا کوئی دریا اور ہے
۵ اپنی پلکیں بھی بچھاؤ فرشِ غم کے ساتھ ساتھ سب کا آنا اور ہے زہرا کا آنا اور ہے
۶ علقمہ عباس کے چلو کا اندازہ نہ کر تجھ میں پانی ہی نہیں چلو تو گہرا اور ہے
۷ اس لیے آ کر وہ عیسیٰ کو پڑھائیں گے نماز شیرِ مریم اور ہے اور شیرِ زہرا اور ہے
۸ شعر کہہ دیتے ہیں ہم بھی اے بلالِ کاظمی مدحِ مولا میں مگر میثم کا لہجہ اور ہے

Bandagi Ki Laaj Jo Rakh Le

Bandagi ki laaj jo rakh le woh banda aur hai Jo tah-e-khanjar kiya jaaye woh sajda aur hai
1 Khun ki azmat aur maathe ka pasina aur hai Anbiya se kya taqaabul mera Maula aur hai
2 Is liye chun kar sitaara arsh se bheja gaya Kiunke Zohra ka dar-e-Zahra se rishta aur hai
3 Gharq kar ke bidatoṅ ko mere aansu har baras Muftiyoṅ se puchhte haiṅ koi fatwa aur hai
4 Sher ne ye Alqama ke pehre daaroṅ se kaha Is pe qabza ho chuka kya koi darya aur hai
5 Apni palkeṅ bhi bichhaao farsh-e-gham ke saath saath Sab ka aana aur hai Zahra ka aana aur hai
6 Alqama Abbas ke chullu ka andaaza na kar Tujh meiṅ paani hi nahiṅ chullu to gehra aur hai
7 Is liye aa kar woh Isa ko parhaaeṅ ge namaaz Sher-e-Maryam aur hai aur Sher-e-Zahra aur hai
8 Sher keh dete haiṅ hum bhi ae Bilal-e-Kazmi Madh-e-Maula meiṅ magar Maisam ka lehja aur hai