بین الحرمین
Bain Ul Harmain
Show
بین الحرمین
خیمہ زن ہیں یہ جنا دو حرم کے درمیاں
عاشقوں کے کارواں ہیں دو حرم کے درمیاں
آسماں والے کہاں ہیں دو حرم کے درمیاں
دو جہاں کے دو جہاں ہیں دو حرم کے درمیاں
جس محمد سے یہاں چاہیں ملاقاتیں کریں
آئیے اس عرش پر اللہ سے باتیں کریں
ہے ایک طرف عباس تیرے
اور ایک طرف ہیں مولا حسین
اے ارضِ یقیں کعبے کی زمیں
کہتی ہے تجھے قاب قوسین
۱
یہ زمیں چاند ستاروں کی جبیں لگتی ہے
کہکشاں اس کے تصدق میں حسین لگتی ہے
لامکانی کی حدوں سے یہ قرین لگتی ہے
یہ تو قوسین سے آگے کی زمیں لگتی ہے
جو عرش پہ تھا پہلے نعلین
اس نے بھی اتاری ہے نعلین
۲
ہاں بولنے لگتی ہے خاموشیِ جذبات یہاں
عشق کی جاری ہے صدیوں سے عبادات یہاں
سارے عاشق ہمیں مل جاتے ہیں اک ساتھ یہاں
اور نبیوں سے بھی ہوتی ہے ملاقات یہاں
آدم بھی یہیں عیسیٰ بھی یہیں
ملتے ہیں یہیں پر ذوالقرنین
۳
اس زمیں پر چلے آنا ہی ہے معراجِ بشر
سدرۂ عشق ہے کب عام ہے یہ رہگزر
طائرِ عقل کے جلتے ہیں یہیں پر شہپر
فرش بن جاتا ہے خود عرش یہاں پر آ کر
قدموں سے نہ چل جا سر کے بل
ارے رہتی ہے یہاں ام الحسنین
۴
تیری قسمت سے وہ قسمت نے ستارہ دیکھا
خلق کر کے تجھے خالق نے دوبارہ دیکھا
سب زمینوں پہ فقط تیرا اجارہ دیکھا
اور وہیں پر یہ زمانے نے نظارہ دیکھا
ہاں دامن میں تیرے اک ساتھ بھی گر
آئیں تو سما جائیں کونین
۵
سر زمیں پر تیری ہوتی ہے بشر کی معراج
دیکھ لینا تجھے ہوتی ہے نظر کی معراج
تجھ پہ سجدے سے ہوا کرتی ہے سر کی معراج
ختم ہے تجھ پہ بلندی کے سفر کی معراج
کیا سمجھیں گے وہ معراج تیری
جو سمجھے نہیں معراج کی عین
۶
کہیں جاتے ہوئے دیکھا ہی نہیں دونوں کو
عشق نے دیکھا ہے برسوں سے وہیں دونوں کو
صورتاً جانتے ہیں اہلِ یقیں دونوں کو
ڈھونڈنے جاؤ نہ دنیا میں کہیں دونوں کو
عاشور کے دن ماتم کرتے
آئیں گے نظر تم کو میرین
Bain Ul Harmain
Khaimazan haiṅ yeh jinna do haram ke darmiyaaṅ
Aashiqoṅ ke kaarwaaṅ haiṅ do haram ke darmiyaaṅ
Aasmaaṅ wale kahaaṅ haiṅ do haram ke darmiyaaṅ
Do jahaaṅ ke do jahaaṅ haiṅ do haram ke darmiyaaṅ
Jis Muhammad se yahaaṅ chaaheṅ mulaaqaateṅ kareṅ
Aaiye is arsh par Allah se baateṅ kareṅ
Hai aik taraf Abbas tere
Aur aik taraf haiṅ Maula Husain
Ae arz-e-yaqiṅ Kaabe ki zamiṅ
Kehti hai tujhe qaaba qausain
1
Yeh zamiṅ chaand sitaaroṅ ki jabiṅ lagti hai
Kahkashaaṅ is ke tasadduq meiṅ hasin lagti hai
Laamakaani ki hadoṅ se yeh qarin lagti hai
Yeh to qausain se aage ki zamiṅ lagti hai
Jo arsh pe tha pehle naalain
Us ne bhi utaari hai naalain
2
Haaṅ bolne lagti hai khaamoshi-e-jazbaat yahaaṅ
Ishq ki jaari hai sadiyoṅ se ibaadaat yahaaṅ
Saare aashiq hameṅ mil jaate haiṅ ik saath yahaaṅ
Aur nabiyoṅ se bhi hoti hai mulaaqaat yahaaṅ
Aadam bhi yahiṅ Isa bhi yahiṅ
Milte haiṅ yahiṅ par Zulqarnain
3
Is zamiṅ par chale aana hi hai Meraaj-e-bashar
Sidra-e-ishq hai kab aam hai yeh rahguzar
Taair-e-aql ke jalte haiṅ yahiṅ par shahpar
Farsh ban jaata hai khud arsh yahaaṅ par aakar
Qadmoṅ se na chal ja sar ke bal
Are rehti hai yahaaṅ Umm-ul-Hasnain
4
Teri qismat se woh qismat ne sitaara dekha
Khalq kar ke tujhe Khaaliq ne dobaara dekha
Sab zaminoṅ pe faqat tera ijaara dekha
Aur wahiṅ par yeh zamaane ne nazaara dekha
Haaṅ daaman meiṅ tere ik saath bhi gar
Aaeṅ to samaa jaaeṅ kaunain
5
Sar zamiṅ par teri hoti hai bashar ki Meraaj
Dekh lena tujhe hoti hai nazar ki Meraaj
Tujh pe sajde se hua karti hai sar ki Meraaj
Khatm hai tujh pe bulandi ke safar ki Meraaj
Kya samjheṅ ge woh Meraaj teri
Jo samjhe nahiṅ Meraaj ki ain
6
Kahiṅ jaate hue dekha hi nahiṅ donoṅ ko
Ishq ne dekha hai barsoṅ se wahiṅ donoṅ ko
Suratan jaante haiṅ ahl-e-yaqiṅ donoṅ ko
Dhuṅdne jaao na dunya meiṅ kahiṅ donoṅ ko
Aashur ke din maatam karte
Aaeṅ ge nazar tum ko Mirain