باغِ نبی کے گل ہیں گلزار ہیں حسن
Baagh-e-Nabi Ke Gul Haiṅ Gulzaar Haiṅ Hasan
Show
باغِ نبی کے گل ہیں گلزار ہیں حسن
باغِ نبی کے گل ہیں گلزار ہیں حسن
بے شک کے امامت کے تاجدار ہیں حسن
۱
خیر النسا کی گود میں یہ دیکھ لو علی
اک مصطفیٰ کے دین کی بہار ہیں حسن
گلیوں میں مدینے کی کہتے تھے مسلمان
دوشِ نبی پہ دیکھ لو سوار ہیں حسن
۲
شامی کو تخت پر بھی بے چین کر دیا ہے
کیوں کہ علی کی طرح جرار ہیں حسن
پھر شام کے لشکر ہلچل نہ مچائے کیوں کر
وہ سامنے بصورتِ تلوار ہیں حسن
۳
لے کر رسول گود میں کہتے تھے بار بار
خالق کی محبت کا اظہار ہیں حسن
منظور کرائے مولا زہرا کے واسطے سے
فرمان ذکی کے جو اشعار ہیں حسن
Baagh-e-Nabi Ke Gul Haiṅ Gulzaar Haiṅ Hasan
Baagh-e-Nabi ke gul haiṅ gulzaar haiṅ Hasan
Beshaq ke imamat ke taajdaar haiṅ Hasan
1
Khair-al-Nisa ki god meiṅ ye dekh lo Ali
Ik Mustafa ke din ki bahaar haiṅ Hasan
Galiyoṅ meiṅ Madine ki kehte the Musalmaan
Dosh-e-Nabi pe dekh lo sawaar haiṅ Hasan
2
Shaami ko takht par bhi bechain kar diya hai
Kiuṅ ke Ali ki tarah jarraar haiṅ Hasan
Phir Shaam ke lashkar halchal na machae kiuṅ kar
Wo saamne basurat-e-talwaar haiṅ Hasan
3
Le kar Rasul god meiṅ kehte the baar baar
Khaaliq ki muhabbat ka izhaar haiṅ Hasan
Manzur karaaye Maula Zahra ke waaste se
Farman Zaki ke jo ashaar haiṅ Hasan