بابا کو صدائیں دیتی ہے
Baba Ko Sadaaeṅ
Show
بابا کو صدائیں دیتی ہے
بابا کو صدائیں دیتی ہے
جنگل میں سکینہ رات گئے
جب کان میں اُس کے آتی ہے
آوازِ الیہ رات گئے
۱
عباس نہیں قاسم بھی نہیں
اکبر بھی نہیں اصغر بھی نہیں
بے گورو کفن ہے جنگل میں
شبیر کا لاشہ رات گئے
۲
زہرا کی دُلاری سر کھولے
بے مکھنا و چادر بیٹھی ہے
رودادِ آلم دوہراتا ہے
جلتا ہوا خیمہ رات گئے
۳
جب شامِ غریباں کو لے کر
عاشور کا سورج ڈوب گیا
سجاد کو بھی بے دینوں نے
زنجیر میں جکڑا رات گئے
Baba Ko Sadaaeṅ
Baba ko sadaaeṅ deti hai
Jangal meiṅ Sakina raat gaye
Jab kaan meiṅ us ke aati hai
Aawaaz-e-ilayya raat gaye
1
Abbas nahiṅ Qasim bhi nahiṅ
Akbar bhi nahiṅ Asghar bhi nahiṅ
Begor o kafan hai jangal meiṅ
Shabbir ka laasha raat gaye
2
Zehra ki dulaari sar khole
Bemakhna o chaadar baithi hai
Rudaad-e-alam dohraata hai
Jalta hua khaima raat gaye
3
Jab shaam-e-gharibaṅ ko le kar
Aashur ka suraj dub gaya
Sajjad ko bhi bedinoṅ ne
Zanjir meiṅ jakra raat gaye