باطل کا زہر پھیل رہا ہے ہوائوں میں
Baatil Ka Zehr
Show
باطل کا زہر پھیل رہا ہے ہوائوں میں
باطل کا زہر پھیل رہا ہے ہوائوں میں
رہیئے ولائے آلِ محمد کی چھائوں میں
۱
لے کر چلا ہے ہاتھ میں تقدیر دین کی
گردن میں جس کے طوق ہے زنجیر ہے پائوں میں
۲
اک روز وہ زمین پر گِر کر بکھر گئے
اُڑتے رہے جو ظلم کی اندھی ہوائوں میں
۳
ہے اب بھی دینِ حق کے اُجالوں کا پاسباں
زہرا کا چاند ظلم کی کالی گھٹائوں میں
۴
یوں مُصطفٰی کی آبرو رکھ لی حُسین نے
اسلام کو بچا لیا گِھر کر بلائوں میں
۵
بچے تو سو گئے شبِ عاشور چین سے
لیکن بپا تھا شور قیامت کا مائوں میں
۶
اے مومنو بہن سے جُدا کیا ہوئے حسین
زینب کے بین آج تلک ہیں فضائوں میں
۷
گُلشن کے پھول دیکھ کر مُرجھا گئے عروج
لپٹے جو خار حضرتِ عابد کے پائوں میں
Baatil Ka Zehr
Baatil ka zehr phail raha hai hawaaoṅ meiṅ
Rahiye wilaa-e-Aal-e-Muhammad ki chhaaoṅ meiṅ
1
Le kar chala hai haath meiṅ taqdir din ki
Gardan meiṅ jis ke tauq hai zanjir hai paaoṅ meiṅ
2
Ik roz wo zamin par gir kar bikhar gaye
Urte rahe jo zulm ki andhi hawaaoṅ meiṅ
3
Hai ab bhi din-e-Haq ke ujaaloṅ ka paasbaaṅ
Zehra ka chaand zulm ki kaali ghataaoṅ meiṅ
4
Yuṅ Mustafa ki aabru rakh li Husain ne
Islam ko bacha liya ghir kar balaaoṅ meiṅ
5
Bachche to so gaye shab-e-Aashur chain se
Lekin bapa tha shor qayaamat ka maaoṅ meiṅ
6
Ae momino behan se juda kya hue Husain
Zainab ke bain aaj talak haiṅ fizaaoṅ meiṅ
7
Gulshan ke phul dekh kar murjha gaye Uruj
Lipte jo khaar Hazrat-e-Aabid ke paaoṅ meiṅ