Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

باب ساعت پر کھڑی ہے فاطمہ کی بیٹیاں

Baab-e-Saaat Par

Add to set
Show

باب ساعت پر کھڑی ہے فاطمہ کی بیٹیاں

باب ساعت پر کھڑی ہے فاطمہ کی بیٹیاں شام کے دربار میں ہے جشن کی تیاریاں
۱ وا حسینا کی صدا ہے عترت اطہار میں جانے کیا گزری ہے ان پر شام کے بازار میں خون میں تر ہو گئی کونین کی شہزادیاں
۲ صبح سے تھک جاتے ہیں جب شامی پتھر مار کر شام ہوتے ہی چلے جاتے ہیں ظالم اپنے گھر رات بھر قیدی کھڑے رہتے ہیں زیرِ آسماں
۳ غم تو یہ ہے چار جانب کلمہ گو آباد تھے چادریں پھر بھی نہ دی سر کو چھپانے کے لئے سر کھلے کتنی اذانیں سن چکی ہے بی‌بیاں
۴ کوئی جا کر یہ بتا دو بے کس و مظلوم کو مل رہی ہے یہ یتیمی کی سزا معصوم کو اب سکینہ کو طمانچے دے رہے ہیں لوریاں
۵ خون میں باقر کے شامل غیرتِ عباس ہے ہے ابھی کمسن مگر اس کو بھی یہ احساس ہے بزم میں نوشی کہاں اور ثانی زہرا کہاں
۶ بن گیا تاریخ غربت شام و کوفہ کا سفر ظلم جتنے ہو گئے ہیں بے خطا سادات پر مجرموں پر بھی کہاں ہوتی ہے اتنی سختیاں
۷ عابد بیمار آنسو خون کے برساتا رہا بے ردائی کا اسے زینب کی غم کھاتا رہا آتے آتے شام تک بوڑھا ہوا ہے یہ جواں
۸ جا کے چہلم پر تکلم نے یہ دیکھا ہے سماں کل جہاں سے بے ردا گزری تھی سب سیدانیاں چادریں اب نام پہ زینب کے بٹتی ہیں وہاں

Baab-e-Saaat Par

Baab-e-saaat par khari hai Fatema ki betiyaṅ Shaam ke darbaar meiṅ hai jashn ki tayyaariyaṅ
1 Wa Husaina ki sada hai itrat-e-athaar meiṅ Jaane kya guzri hai in par Shaam ke baazaar meiṅ Khun meiṅ tar ho gayi kaunain ki shehzaadiyaṅ
2 Subah se thak jaate haiṅ jab shaami patthar maar kar Shaam hote hi chale jaate haiṅ zaalim apne ghar Raat bhar qaidi khare rehte haiṅ zer-e-aasmaaṅ
3 Gham to ye hai chaar jaanib kalma go aabaad the Chaadareṅ phir bhi na di sar ko chhupaane ke liye Sar khule kitni azaaneṅ sun chuki hai Bibiyaṅ
4 Koi jaa kar ye bata do bekas o mazlum ko Mil rahi hai ye yatimi ki saza maasum ko Ab Sakina ko tamaanche de rahe haiṅ loriyaṅ
5 Khun meiṅ Baaqir ke shaamil ghairat-e-Abbas hai Hai abhi kamsin magar is ko bhi ye ehsaas hai Bazm meiṅ noshi kahaaṅ aur saani-e-Zahra kahaaṅ
6 Ban gaya taarikh-e-ghurbat Shaam o Kufa ka safar Zulm jitne ho gaye haiṅ bekhata saadaat par Mujrimoṅ par bhi kahaaṅ hoti hai itni sakhtiyaṅ
7 Aabid-e-bimaar aansu khun ke barsaata raha Beridaai ka ise Zainab ki gham khaata raha Aate aate Shaam tak burha hua hai ye jawaaṅ
8 Jaa ke chehlum par Takallum ne ye dekha hai samaaṅ Kal jahaaṅ se berida guzri thi sab sayyidaaniyaṅ Chaadareṅ ab naam pe Zainab ke batti haiṅ wahaaṅ