Appearance

Make the archive comfortable to read on this device.

Current theme: Auto (device)

Theme
Light reading (6)
Dark reading (4)

اذاں ہے مصطفیٰ اور مرتظی میری اقامت ہے

Azaṅ Hai Mustafa

Add to set
Show

اذاں ہے مصطفیٰ اور مرتظی میری اقامت ہے

اذاں ہے مصطفیٰ اور مرتظی میری اقامت ہے یہی مذہب ہے میرا اور یہی میری عبادت ہے
۱ یہ کیوں شبیر کی دریا دلی پر حر کو حیرت ہے خیاتیں بخش دینا اس گھرانے کی تو عادت ہے
۲ اسیری بے ردائی ہے عطش ہے سر ہے نیزوں پر زہرا دیکھو نبی کی آل پر کیسی قیامت ہے
۳ سہارا دو ذرا عباس آ کر اپنے بھائی کو ضعیفی ہے نقاہت ہے جواں بیٹے کی میت ہے
۴ اسے تو دے دو پانی شہ یہ فرماتے تھے اعدا سے بھلا چھ ماہ کے بچے سے تم کو کیا عداوت ہے
۵ یہاں ہے کربلا عقبہ میں ہے باغ ارم محشر یہاں بھی ایک جنت ہے وہاں بھی ایک جنت ہے

Azaṅ Hai Mustafa

Azaaṅ hai Mustafa aur Murtaza meri iqaamat hai Yehi mazhab hai mera aur yehi meri ibaadat hai
1 Ye kiuṅ Shabbir ki darya dili par Hur ko hairat hai Khataaeṅ bakhsh dena is gharaane ki to aadat hai
2 Asiri beridaai hai atash hai sar hai nezoṅ par Zara dekho Nabi ki aal par kaisi qayaamat hai
3 Sahaara do zara Abbas aa kar apne bhaai ko Zaifi hai naqaahat hai jawaaṅ bete ki mayyat hai
4 Ise to de do paani Sheh ye farmaate the aadaa se Bhala chhe maah ke bachche se tum ko kya adaawat hai
5 Yahaaṅ hai Karbala uqba meiṅ hai Baagh-e-Iram Mahshar Yahaaṅ bhi ek jannat hai wahaaṅ bhi ek jannat hai