ہماری شان کربلا ہماری جان کربلا
Azadaron Ki Manzil
Show
ہماری شان کربلا ہماری جان کربلا
ہماری شان کربلا ہماری جان کربلا
عزاداروں کی منزل کربلا ہے
لہو میں ان کی شامل کربلا ہے
کربوبلا میں اتنی کشش بھر گئے حسین
جو کہ جائے گا ہر بار جائے گا
۱
فرشتے آسماں والوں کی صف سے
جبیں ملنے در شاہ نجف سے
تجلی پانے نورانی شرف سے
چلے آتے ہیں زائر ہر طرف سے
ہر ایک کشتی کا ساحل کربلا ہے
۲
کہا جنت نے جنت کربلا کو
نہ بھائے کش لئے اہل عزا کو
عمل لگتا ہے یہ اچھا خدا کو
مصلے پر رکھو خاک شفا کو
اس آئینے کے قابل کربلا ہے
۳
کربوبلا میں جا کے یہ کہتے ہے زائرین
جنت سے اٹھ کے کون سمجھدار جائے گا
۴
ہے چہرہ کربلا کا آسماں پر
قصیدہ ہے رسولوں کی زباں پر
وہاں سے کم نہیں رونق یہاں پر
نہ اتراؤ فلک والوں جناں پر
زمیں والوں کو حاصل کربلا ہے
۵
کہاں اس کا شرف کعبے سے کم ہے
نگاہ کبریا میں محترم ہے
اسی کی چھاؤں میں روح حرم ہے
ہمیں جانے سے روکے کس میں دم ہے
کہ ہم سب کا مستقبل کربلا ہے
۶
خوش ہو کے دل سے اس کو لگا لے گی کربلا
حر بن کے جب بھی کوئی گنہگار جائے گا
۷
مسلمانوں خدا کا خوف کھاؤ
زیارت اس کی مت بدعت بتاؤ
وفا کچھ تو محمد سے نبھاؤ
چلو تم بھی ہمارے ساتھ آؤ
نبی کے دیں کا دل کربلا ہے
۸
بدن سے جب نکل جاتی ہے روحیں
کہاں کی ہے یہ بتلاتی ہے روحیں
در شبیر پہ آتی ہے روحیں
یہ خوش ہو ہو کے چلاتی ہے روحیں
خدا والوں کی محفل کربلا ہے
۹
جاتا ہے کس کے ساتھ بھلا کون قبر میں
خاک شفا کے ساتھ عزادار جائے گا
۱۰
وفا ہم سے نبھاتی ہے لحد تک
ہمارا دل بڑھاتی ہے لحد تک
سہارا دیتی جاتی ہے لحد تک
ہمارے ساتھ آتی ہے لحد تک
ہمارا رد مشکل کربلا ہے
۱۱
ستارے عامر و اختر فلک پر
فدا ہے اس کے زروں کی چمک پر
بچھاتے ہیں یہاں اپنے ملک پر
ہے اس کی روشنی کعبے تلک پر
اب اس منزل میں داخل کربلا ہے
Azadaron Ki Manzil
Hamaari shaan Karbala hamaari jaan Karbala
Azaadaaroṅ ki manzil Karbala hai
Lahu meiṅ in ki shaamil Karbala hai
Karbobala meiṅ itni kashish bhar gaye Husain
Jo ek baar jaayega har baar jaayega
1
Farishte aasmaaṅ waaloṅ ki saf se
Jabiṅ malne dar-e-Shaah-e-Najaf se
Tajalli paane nuraani sharaf se
Chale aate haiṅ zaair har taraf se
Har ek kashti ka saahil Karbala hai
2
Kaha jannat ne jannat Karbala ko
Na bhaaye kis liye ahl-e-aza ko
Amal lagta hai ye achchha Khuda ko
Musalle par rakho khaak-e-shifa ko
Is aaine ke qaabil Karbala hai
3
Karbobala meiṅ jaa ke ye kehte hai zaairin
Jannat se uth ke kaun samajhdaar jaayega
4
Hai charcha Karbala ka aasmaaṅ par
Qasida hai rasuloṅ ki zabaaṅ par
Wahaaṅ se kam nahiṅ raunaq yahaaṅ par
Na itraao falak waaloṅ jinaaṅ par
Zamiṅ waaloṅ ko haasil Karbala hai
5
Kahaaṅ is ka sharaf Kaabe se kam hai
Nigaah-e-kibriya meiṅ mohtaram hai
Isi ki chhaaṅoṅ meiṅ ruh-e-haram hai
Hameṅ jaane se roke kis meiṅ dam hai
Ke hum sab ka mustaqbil Karbala hai
6
Khush ho ke dil se us ko laga legi Karbala
Hurr ban ke jab bhi koi gunahgaar jaayega
7
Musalmaanoṅ Khuda ka khauf khaao
Ziyaarat is ki mat bidat bataao
Wafa kuchh to Muhammad se nibhaao
Chalo tum bhi hamaare saath aao
Nabi ke diṅ ka dil Karbala hai
8
Badan se jab nikal jaati hai ruheṅ
Kahaaṅ ki hai ye batlaati hai ruheṅ
Dar-e-Shabbir pe aati hai ruheṅ
Ye khush ho ho ke chillaati hai ruheṅ
Khuda waaloṅ ki mehfil Karbala hai
9
Jaata hai kis ke saath bhala kaun qabr meiṅ
Khaak-e-shifa ke saath azaadaar jaayega
10
Wafa hum se nibhaati hai lahad tak
Hamaara dil barhaati hai lahad tak
Sahaara deti jaati hai lahad tak
Hamaare saath aati hai lahad tak
Hamaara radd-e-mushkil Karbala hai
11
Sitaare Aamir o Akhtar falak par
Fida hai is ke zarroṅ ki chamak par
Bichhaate haiṅ yahaaṅ apne malak par
Hai is ki roshni Kaabe talak par
Ab us manzil meiṅ daakhil Karbala hai