بنت زہرا کی تمنا یہ عزاداری ہے
Azadari Hai
Show
بنت زہرا کی تمنا یہ عزاداری ہے
بنت زہرا کی تمنا یہ عزاداری ہے
العجل کہتے رہو وقت مدد گاری ہے
۱
چودہ صدیوں کی یہ تاریخ گواہی دے گی
ہے عزاداری کی ضربت جو بڑی کاری ہے
۲
رک نہ پائے یہ سفر نوحہ گروں سینہ زنوں
یہ عزا نصرت شبیر کی تیاری ہے
۳
آندھیوں میں بھی دیا غم کا جلائے رکھنا
ذکر شبیر سے اذہان میں بیداری ہے
۴
اب بھی شبیر اکیلے ہیں سر دشت بلا
اب بھی بیمار کی آنکھوں سے لہو جاری ہے
۵
کثرت فوج پہ نازاں تھا یزیدی لشکر
فوج نو لاکھ بہتر سے مگر ہاری ہے
۶
ظلم اور جبر نے چاہا کہ حقیقت چپ جائے
ایک قیدی کی مگر آج بھی سالاری ہے
۷
اے محب کربوبلا دین کا سرمایہ ہے
کربلا عشق و عقیدت کی شجر کاری ہے
Azadari Hai
Bint-e-Zehra ki tamanna ye azadaari hai
Al ajal kehte raho waqt-e-madadgaari hai
1
Chaudah sadiyoṅ ki ye taarikh gawaahi de gi
Hai azadaari ki zarbat jo bari kaari hai
2
Ruk na paaye ye safar nauhagaroṅ sina zanoṅ
Ye aza nusrat-e-Shabbir ki tayyaari hai
3
Aandhiyoṅ meiṅ bhi diya gham ka jalaaye rakhna
Zikr-e-Shabbir se azhaan meiṅ bedaari hai
4
Ab bhi Shabbir akele haiṅ sar-e-dasht-e-bala
Ab bhi bimaar ki aankhoṅ se lahu jaari hai
5
Kasrat-e-fauj pe naazaaṅ tha Yazidi lashkar
Fauj nau laakh bahattar se magar haari hai
6
Zulm aur jabr ne chaaha ke haqiqat chup jaaye
Ek qaidi ki magar aaj bhi saalaari hai
7
Ae Mohib Karbobala din ka sarmaaya hai
Karbala ishq o aqidat ki shajarkaari hai